Once upon a time ago iran ke ek sheher me ek badshah ki badshahat thi uski ek beti thi Uska naam yasmin tha ...badshah ki sbse zada mohabbat apni beti se hi krta tha.... Badi mushakkato ke baad bhi shehzadi k liye koi rishta na rukta tha .. esa nhi tha ki yasmin m koi kami thi ...wo bhut achi surat or seerat ki malik thi ...uski aankhe siyah thi .. or rang dhoodh jesa .. wo jb hasti to aas pass ke mahual m ronak aa jati ... prr uske rishte hamesha taal diye jate the ...baadshah bhut pareshan the ...
Ek din badshah apne hujre (room) m bethe yasmin ke bare m soch rhe the ke tabhi yasmin ne darwaze pr khat khatahat kr ijazat mangi ... badhshah ne yasmin ko dekhkr kaha .. aao meri shezadi tumhe iski zarorat nhi thi ..yasmin ne muskura kr badshah se kaha nhi abba jaan .. mujjhe laga aap masroof honge .. yeh sunkr badhshah muskurae or khene lage nhi meri pyari ..hum kitne bhi masroof ho ..aap ko ijazat h ... yasmin ne sar hami m hilate hue apna ser badhah ke seene pr rakha .. or aankhe bnd kr li ... kahiye aap kuch khene aayi thi badshah ne apni beti k sir pr hath pherte hue hue dhimi awaz m kaha ... ye sunkr yasmin ne apna sir uthaya or gardan jhuka li... abba jaan aap meri wjah se bhut pareshan rehte h ... yeh mujjhe aacha nhi lgta ..aap siyasi mamlo m bhi km dhiyan dene lage ..hai .. ammi jaan k baad aap hi mere sbkuch h ... or meri wjah se aap bimar ho m ye kese dekh skti hun .. ab shehzadi bolte bolte ro rahi thi uski aawaz bhari ho chuki thi .... meri bachii aap humari shehzadi h .. agr hum aapke bare m na soche to kia krein ... or itna kiu pareshan hoti h ... allah aapka naseeb behtar krega .. badshah yasmin k aasoo poche or apne se laga liya ...Zindagi bhi badi ajeeb hoti .. jo chahte dil chahta hai
Unhi ko humse dur kr deti h .. or esi jagah phekti h jaha ...kisi ko guman bhi na ho ....Aaj badshah apne darbar me bethe siyasi mamlo pr behes sun rahe the tabhi darban ne khbr di ..ki badshah ke ustad
Saleem durwesh tashreef laye h .. badshah bhut khush hue ..onhone us din k liye darbar barkhast kiya or ..... jaha sleem durwesh ko bithaya gaya tha waha phooche .. phoochte hi badshah ne buland aawaz me apne ustad ko salaam kiya or pass jakr musafa kiya .. saleem durwesh ek buzurg the unki lambi safed dadhi ..chehre hathi pr jhurriya hath m bent (stick ) ladkhada kr chlna or aawaz m bhi ladhkhadahat unki burzurgi bayan krti thi ...unhone bataya ki ab wo chahte h ki unke akhiri din makka m guzre is liye wo sb se milkr wida lena chahte the ... badshah ne khushi ka izhar kiya or
Unse poocha ki unhe kisi cheez ki zarorat to nhi ... saleem ne apne shagird ke ser pr hath phera or nafi m ser hilaya .. is baar saleem ne badshah se poocha kiya hua tum bhut pareshan nazar aate ho or tumhari aankhe batati h tum kai din se sukoon ki neend nhi soe ... badshah ye baat sukr heran to na hue kiuki wo apne ustad ko jNte the ki unhe insan ki parakh bhut aache se h .. badshah ne ser jhuka kr kaha .. ustad mere pas allah ka diya sb kuch h ....prr ek gaam h ki mujhe khaye ja raha h ki mein shehzadi yasmin ka nikah nhi kr pa raha hun .... ab to aawam ( public) m bhi yeh baata fel gyi h ...
....saleem ye sunkr thodi der chup rahe or kaha m kl tumhe ek khat ... bhejunga ... usme jo vi likha ho kr lena ... aage allah behtar krega...Hey guys i know this first chapter is lil bit boring but .. this is all introduction about situation. .. aap apne seat ki peti bandhe rakhiye kiuki aage bade twist aane wale h ...
And aagr aap padh rahe h to pls vote it ....
Koi correction ya suggestions h to let me know .. ... ..Jldi h update aayega ...
YOU ARE READING
kissa e jinn
Fantasythe story is about a princess who forced to marry a wolf but later she found her husband is a jinny . and hide .... but something is happen in between them . jinny throw out her .. and how she find survive and ..wht she doing to catch jinny's believ...