covid ki yad mein (november 2020)

11 1 0
                                    


Covid kahani (ye 2020 ki bat he )

Mein bata dun ye 2020 ka November chal rha he or Alhamdulillah ham apni covid ki second layer k sath bhi bary khush bash hein. Zindagi ne bada anokha rang dikhaya he

Ye 2017 k bad mery liye bohat anokha sal he. mein ni janti kun . lekin, ye zaroor janti hun insan tanhai mein sab se zyada khud k qareeb hota he. Koi ni he bas wahi he,sirf aik hi he. chahy hajoom ho ya phr gunjta khali karma, wahi he bas,aik akela wahid. Tum jab akely ho to tmhara gam bhi tum ho or tumhari khushi bhi tum. Apni khushiyon ko dekho kesy tum isy khud jama kr rhy ho . tm khush ho jab tmhary hath mn paint brush he or dusri terf wo painting he jisy tum kharab kr chuky ho. aik Tum ho or aik download pr lagi hui pdf ke lamby novels jinhn tm sochti ho k aik din mukamal krlogi. ye kitab kisi bhi surat mein ho ye dost ki terhan tmhary sath he . jab tm rahain bhatakny lagty ho to tum kihaniyon k kirdar talash krty ho. Or phr kirdar mein khud ko talash krty ho. Tmhara bas chaly to usi kirdar ka joota pehan ker chal paro. Chalty chalty tm kahin aik ghr mein juta utar kr dakhil ho jaty ho or kirdar peechy khara reh jata he . In chand mah mein tum ne kaye kirdaron k juty churaye hein . khali kagaz pr bhi tum yehi kirdar banaty ho mein janta hun k ye tmhary khud k banaye huwy kirdar ni hein tm tasweer dekh kr aks banaty ho. Tum musalsal insan ki talash mein ho . wo pehla sketch jab tm ne banaya. Phr pata chala haye o rab teri shan . kya khoob banaty ho . beshak beshak tujh sa koi ni he .

Mery liye ye covid tohfa he jo mujy band khirkiyon mein mila he . mein ne apny ander ki ser ki he.

Chalty hein ab covid kahani k sath

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Chalty hein ab covid kahani k sath

Bhae ye 2019 december chal rha tha . jab tv kholo to wo china wala virus namudar ho jata tha . facebook kholo to carona yahadiyon ki sazish he . bhae ham to zindagi k chand sooraj ka hath pakar kr agly din ka road cross rhy the. Bary halky phulky se the. Aj kya pehnna he kl kya khana he. Sirdiyon k wo din bari khamoshi k sath apni dhund bhary asman k sath guzr rhy the . hamara kya he wahi subha fresh ho kr university ki bus pr sawar hona . wo lambi sark k do terfa gadly pani mein aye haye kya suraj ka aks ata tha . mashallah! Agr pic li jaye to kisi nadi kinary se kam ni ati thi. Subh sawery wahi poorany chehry dekh kr apni seat pr dhr jana or phr class se bahir jany k bahany talash krna. University ki Lambi sarak ho ya phr bas ka lamba safer mera kabhi dil hi ni chaha k safr ruk jaye . kon chahta he ke safer ruk jaye. covid hi tha jis ne safer ka joota utar k apna joota pehna diya . talkhi bohat thi jooty mein mgr kuch tha jo is ne sikha diya . jesy mein ne apni aik kitab mein parha tha k " mery jooty mery dost hein . mein inhn galy ka har bana kr pehan leta hun. shayd esa hi kuch tha. Safer to aj bhi jari he mgr kon jany kahan khatam ho .

Insanon ki shakal mein koi dost ho na ho . mgr mery ye dost bari paki dosti nibhaty hein. Yaqeen na ho to try krlo. \

kahani jari rehy gi...

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Nov 19, 2020 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

covid kahaniWhere stories live. Discover now