"Tumhein muhabbat hogayi hai uss se?"
"Agar umar bhar sirf usske saath ko chahna muhabbat hai toh han shayad hogayi hai mujhay uss se muhabbat"
_______________________________
"Agar mein kahun ke mein thak gaya hun apnon se bhagtay bhagtay toh?"
"To...
Urnay do mitti ko kahaan tak jayegi , hawa ka saath chootayga , Zameen par hi ayegi.
~
¡Ay! Esta imagen no sigue nuestras pautas de contenido. Para continuar la publicación, intente quitarla o subir otra.
Sab mehman jachuke thay , Raat ke gyara Baj rahay thay Liza , Hoor aur Aaryan garden mein thay , woh teeno fairy lights aur baqi sari decor ko utarnay mein masroof thay.
"Yeh fairy lights kitni pyari Hain Na Liza , nazuk Si , khoobsurat Si , ankhon ko bohat khoobsurat lagti hain" Hoor unhein hath mein liye Liza Ki taraf dekh rahi thi.
"Han bohat khoobsurat hain , magar dhiyan se kahin current Na lag Jaye tumhein"
"Itni khoobsurat Cheez bhi bhala mujhay nuqsan desakti Hai"
Issi lamhay Aaryan ne apna camera uthaya aur flash Ki ek awaz ayi , Hoor foran chonk gayi aur usski taraf dekha.
"Aaryan kitni dafa kaha hai kisi ki ijazat ke baghair unki tasweerien Nahi Liya kartay" Hoor ankhein sukair kar boli.
"Acha Dadi maa , kuch zyada hi khushfehmi nahi hai Apko mein Apki Nahi apkay hath mein uljhi in fairy lights Ki tasweer leraha tha" Aaryan anjan banke bola.
"Jhootay!" Liza ne apnay Bhai Ko Shaq Ki nazron se dekha.
"Chalo dikhao apna camera!" Aur issi lamhay hoor aur Liza dono usski taraf bhagay aur ab garden mein un teeno ke kehkahay ubhar rahay thay. Woh teeno bachpan se aisay hi thay , woh Sath hotay toh dunya bhool jatay , woh Sath hotay toh apnay saray gham bhool jatay thay , woh Sath hotay toh ek doosray ke chehray par muskurahatein bikhair detay.
Daadi Jan lounge mein apnay Walker ka Sahara liye khari thi , lounge ke gird glass walls thi issliye woh bahar ka manzar dekh Sakti thi , unkay chehray par jitni mutmayan aur khoobsurat muskurahat iss waqt thi agar Aaryan dekh leta toh iss muskurahat ko bhi apnay camera ke ek flash se hamesha keliye apnay Sath mehfooz karleta.
"Ammo Jan aap Yahan Kya kar rahi hain , bohat thak gayi hongi aap chalein mein aapko kamray tak chor Aon" Rehman Sahab pheechay se aye.
"Nahi Rehman , apnay bachon Ki muskurahatein dekh li hain ab mein ne , sari thakan utar gayi meri" Dadi Jan ne bahar ki taraf ishara kartay huay kaha.
"Janti hai ammo , rashida ke janay ke baad jab mein ne apni behen Shehwar aur apnay azeez yar Azam Khan ko khoya tha na , mujhay laga tha ab mein dobara Zindagi Ki taraf wapis Kabhi Nahi apaon ga , lekin dekhein mein jee raha hun , waqt Kisi tez hawa ke jhonkay Ki tarah guzar raha Hai , apnay bachon Ki khushiyan mujhay naseeb horahi Hain , Meri Zindagi ab inhi mein basi Hai" Rehman Malik chahay kitna hi raubdar , namwar, bara waqeel tha , lekin apnay dil Ka haal hamesha apni Ammo ke samnay bayan kardeta , yahi toh ek zariya Hota hai dil ko sukoon mein lanay ka , woh Insan hi Kya Jo kabhi apnay jazbat ka izhar na karay.