DEAR ZINDAGI

20 1 0
                                    

Dear Zindagi tum bhi kitni ajeeb hona? Mtlb... Bohot ajeeb, jab lgta hai ke sub kuch theak hai to tum achanak U-turn le leti ho, Or jab Lagta hai ke tumne aik ese mor pe la kr khara kr diya hai jahan juch theak nhi ho skta to tum mujhe tor kr maroor kar phir aik naya raasta nikaal kar esi Rahh dekha deti ho ke aik nai umeed si bandh jati hai.
Dear Zindagi tumhara bhi kya ajeeb khel hai, Kbhi tum mujhe logon ki itni bari bheer mein akela kr deti ho or kbhi mujhe meri khamoshi mein bhi hujoom or shor sunai deta hai. kbhi Udasi k pal katne se bhi nhi kat'te or kbhi khusiyon k jhonke tum pal bhar mein guzaar deti ho. Dear Zindadi kbhi kbhi to tum mujhe esa aaina dekhati ho ke mujhe mera akss jhoota lagne lgta hai or Kbhi tum mere wajood ki tammam haqiqat ko dhundla kr deti ho.
Dear Zindagi ma ye shikayat nhi kron gi k esa sirf mere sath hi hota hai, lakin bss in Ajeeb se aarhe or utle raaston pe chal kr kbhi kbhi ma hairaan ho jati hoon. Kbhi apnon se bicharr kr  apnon se hi milwati ho, Or kbhi gairon ko apna, apne se zyaada bana deti ho.
Dear Zindagi tumhare bhi apne niraale hi rang hyn, Mohabbat/Nafrat, her cheez ka aik mukarrar waqt, her aik cheez ka hisaab kitaab, Khushi/Ghum, Dosti/Dushmani, Jhoot/such, Wafa/Bewafai or pta nhi kya kya...? Bohot taveel safar nama ban jata hai shuru se ikhtitaam tkk... Dear Zindagi Phir jub lgne lgta hai k tumhare sare rang dekh liay or ab hum bhi tammam rangon se waqif hyn to Dear Zindagi tum phir aik dafa U-turn le ke usi pehle panne pe la k khara kr deti ho k sub chezyn mil kr ya to khud ghoom jati hyn ya mujhe ghooma deti hyn like sub ka "SQUARE ONE"

MANZILWhere stories live. Discover now