Title: "Dua: Ek Roohani Mohabbat Ki Kahani " By( Sana Ijaz )
ParriGull
- Reads 119
- Votes 15
- Parts 31
"Dua" - Ek kahani sirf mohabbat ki nahi, balke us jazbe ki hai jo dil ko chhoo kar rooh tak utar jata hai.
Ye kahani ek larki ki hai jo apni masoomiyat, jazbat aur dukh-sukh ke saaye mein apni zindagi ke sabse mushkil mod ka samna karti hai. Har safha us ki be-bas duaon, rooh ko cheer dene wale imtihaan aur dil ke gehraiyon mein utar kar likhe gaye jazbat ka aaina hai.
"Dua" aapko ek aisi duniya mein le jaye gi jahan mohabbat sirf ek lafz nahi balki saans lene ka ek tareeqa ban jati hai. Har character ka dukh, har muskaan aur har ansu aap ke dil par nishan chhod jayega.
Ye sirf ek novel nahi... ye aapki rooh ke jazbat ka tarjuman hai.
Jo ek dafa parh lega, us ka dil dobara dobara "Dua" ki taraf kheenchta rahega... 💔✨
kabhi kabhi dua sirf lafzon tak mehdood nahi hoti... kabhi yeh dil se nikal kar kisi aur ke naseeb ka faisla ban jaati hai. "Dua" aik aisi roohani aur jazbaati kahani hai jo sirf mohabbat ka izhar nahi karti, balkay insani jazbat, imaan, aur taqdeer ke gehre raaz kholti hai. Is kahani mein har lamha aapko ya to rulayega, ya phir kisi pur-sukoon dua ka hissa bana dega.
Dua aik masoom, khud-dar aur imaan-daar larki hai jiska dil mohabbat aur khuda ke bharose se bhara hai. Lekin uski zindagi mein daakhil hota hai Daahim - aik aisa shakhs jiske saath uska rishta sirf dil ka nahi, rooh ka bhi hai. Magar jab zindagi imtihaan leti hai, mohabbat aur aqeede ke darmiyan fasla barh jaata hai. Kya Dua apni mohabbat ko bacha paayegi? Ya phir sirf ek "dua" ban kar reh jaayegi...?