dareya_2811
Sabki nazron mein Shreya Sharma ek simple, hardworking aur kind-hearted employee hai jo Agrawal Group of Companies mein kaam karti hai. Lekin duniya is sach se anjaan hai ki woh asal mein Shreya Agarwal hai - Agrawal Group ki mysterious owner, jise aaj tak kisi ne nahi dekha.
Apni asli pehchaan chhupa kar jeene wali Shreya ke paas ek dardnaak ateet hai. Bachpan mein ek car accident ne usse uske maa-baap se hamesha ke liye alag kar diya aur uski chhoti behen Tarika usse bichhad gayi. Saalon se woh apni behen ko dhoondh rahi hai, bina yeh jaane ki kismat unhe phir se milane ki taiyari kar rahi hai.
Dusri taraf Daya Shetty, Shetty Group of Companies ka powerful aur successful MD, business world ka ek aisa naam hai jisse log ya to darte hain ya nafrat karte hain. Rude, arrogant aur heartless kehlane wala Daya sirf apni family ke saamne apna soft side dikhata hai. Uske liye emotions se zyada important business aur success hai.
Jab kismat Shreya aur Daya ke raaste ek doosre se takrati hai, tab shuru hoti hai ego, misunderstandings aur secrets se bhari ek kahani. Daya ko nahi pata ki jis ladki ko woh ek ordinary employee samajh kar ignore karta hai, woh usse bhi zyada powerful hai. Aur Shreya ko nahi pata ki jis aadmi se woh sabse zyada nafrat karti hai, wahi dheere-dheere uske dil mein apni jagah bana lega.
Raaz, pyaar, family, betrayal aur emotions se bhari yeh kahani batayegi ki kya Daya sach jaanne ke baad Shreya ka bharosa jeet payega? Kya saalon pehle bichhadi hui do behne phir se mil payengi? Aur kya ek hidden heiress aur ek heartless businessman ki kahani nafrat se mohabbat tak pahunch payegi?
Kabhi-kabhi sabse bade raaz un logon ke hote hain jo sabse zyada aam nazar aate hain...