Queen-ksadi
Ye ek Romance Fantasy Fiction h. 
Main characters - 
"Kavya" - Sweet, Simple, Ziddi but Orphan and a .... 
"Advik Rajput Agnivanshi" - The Prince of Bhangarh, an Artist aur .... 
"Chetan" - Kavya ka best friend aur uska .... 
"RD" - King, The Demon King, yup! 
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------
(jo lines/words brackets me h wo Kavya k thoughts ya feelings ko darshate h)
-----------------------------------------------------
(Mujhe to abhi tak dar se mar jana chahiye tha aur dekho me to is jeev ko niharne me lagi hu. Ya to ye such me bohot sundar h ya me puri pagal ho gayi hu.) Jab me uske mask, red ankhe, black-red wings, haath pe skull-king ka tatto, in sab ki jaanch karne me busy thi, Wo to mujhe me yu khoya hua tha, jaisa pehli baar koi ladki dekhi ho. 
Fir bina kuch jatae, dheere se apne hoth mere chehre k pass laya aur... and kissed ME! 
(ye kya tha! 
Isne mujhe kiss kiya! Ye..ye to insaan bhi ni h! 
Par, 
mujhe darna chahiye ya khush hona chahiye? 
Pagal ladki, DARNA CHAHIYE! dar k bhaag jana chahiye!) 
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------
"Jo mujhe se jeetega, wahi to mujhe jeetega." - Kavya. 
"Har baar jab aap apni jaan khatre me dalengi." -  Advik. 
"Me chahta hu, ek din tum khud mera mask utaro." RD. 
"Bas, tumhe miss n karna, ye hi to mere bas me nhi." Chetan. 
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------
Is kahani k sare kirdaar kalpanik h. kisi bhi plot, scene, character ka re-use nahi kiya jaa sakta. @All right reserved to me, only me.