jewelz123
Jindagi khel khelti hain aur us khel me kuch log jeet jaate hai aur kuch haar jaate... Lekin pata kaise chalega ki kaun jeetega aur kaun haarega?
Rudransh:
"Tumhare paas koi choice nahi, Aanya... ab tum meri patni ho."
Aanya:
"Mai hi kyun? Tum ye kyun kar rahe ho?"
Rudransh:
"Kyunki maine kisi se wada kiya tha... tumhe surakshit rakhne ka. Aur main us wada ko nibhaunga chahe kuch bhi ho jaye."
Jab kismet zalim ho jaati hain... kuch vaade chupaye jaate hain... aur kuch sachchaiyaan dabaa di jaati hain.
Aanya:
"Tum mujhse kuch chhupa rahe ho... lekin main jaankar rahungi!"
Rudransh:
"Kuch sach itne khatarnak hote hain ki unhe batana khatarnak hota hai."
Ek raaz... ek zimmedaari... ek shaadi, jo kismet ne zabardasti likhi.
Aanya:
"Main tumse darne wali nahi hoon! Tum mujhe rok nahi paoge!"
Rudransh:
"Main tumhe kabhi jane nahi dunga."
"Ek zimmedari jo pata nahi kabhi pyaar me badal paaegi ya nahi."