samiyarawat
Kabhi-kabhi zindagi ki sabse khoobsurat kahaniyan kisi manzil par nahi,
balki ek anjaan si raah par shuru hoti hain.
Khristi aur Ayaanshh bhi ek waqt par ek-doosre ke liye anjaan the.
Phir ek mulaqat hui...
kuch nazrein mili...
kuch baatein hui...
aur pata hi nahi chala kab ek anjaan chehra dil ke sabse kareeb ho gaya.
Lekin har mulaqat ka anjaam milna nahi hota.
Kuch log zindagi mein sirf isliye aate hain
taaki humein mohabbat ka matlab samjha sakein,
aur phir kisi doosri raah par chale jaayein.
Ye kahani hai ek mulaqat ki,
ek mohabbat ki,
aur us insaan ki
jo manzil toh nahi bana,
magar raah mein milkar poori kahani ban gaya.