UnknownnnShayar
THE LAST MESSAGE
Raat ke 2:37 baje uske phone par ek message aaya.
"Kya tumhe abhi bhi main yaad hoon?"
Message bhejne wali thi-Anaya.
Wahi Anaya, jisse Ashim ne teen saal pehle khoya tha. Wahi ladki jise bhoolne ka woh teen saal se khud ko yakeen dilata raha tha.
Purani yaadein wapas aane lagi-baarish, woh chhota sa cafe, ghanton ki calls, bekaar ki ladai aur woh pyaar... jo dono ne kabhi kehne ki himmat nahi ki.
Lekin Ashim ko nahi pata tha ki Anaya ka wapas aana kisi nayi shuruaat ka ishara nahi tha.
Ye uska aakhri message tha.
Ek adhuri mohabbat, ek galat waqt... aur ek aisa sach jo Ashim ki poori zindagi badal dega.
Kuch baatein waqt par keh deni chahiye... kyunki har "kal" naseeb mein nahi hota.