mohenchants
Kehte hai... attachment ache-accho ko bandh leta hai, Par kya ho jab ye attachment kisi aam insaan ka nahi, Technology ki duniya ke asli Tech King - Mrityunjay ka hoga?
Ek aisa billionaire, jo sirf software, systems aur companies hi nahi chalata, Woh logon ki dhadkane bhi control krne ki power rakhta hai.
Uska ek touch...insaan ko barbaad bhi kar sakta hai, aur aabaad bhi.
Uski nazron mein woh obsession, jo ek baar kisi ko chun le, toh zindagi bhar chhodti nahi.
Aur tab, uski zindagi mein woh ladki aati hai, jise dekhkar Mrityunjay jo maanta tha
ki emotions ek weakness hote hain-
par pehli baar, weakness banne ka uska mann karta hai.
Jab raaz-bhara Mafia, Mrityunjay, uss masum si bholi bhali ladki ki zindagi mein kadam rakhta hai, toh woh apne saath laata hai temptation ka tufaan- dangerous, consuming, aur bilkul irresistible.
Usse pata hai ki uske kareeb jaana khatra hai...
lekin phir bhi- woh khatra hi uski saansein ban jaata hai.
Har pal, har lamha, Mrityunjay ka junoon uske aas-paas hawa ki tarah ghoomta hai- naa dikhai deta hai, naa chhoda ja sakta hai.
Woh ladki uske liye sirf uski biwi nahi...
ek addiction ban jaati hai. Jise chhodna mushkil, aur paana... usse bhi zyada khatarnak.
Mrityunjay ke touch mein, baarish ki tarah narmi bhi hai, aur tufaan ki tarah barbaadi bhi.
Aur jab Devil , Mrityunjay usse apna banane ka faisla kar leta hai... toh phir na duniya rokti hai,
na kismat badalti hai, aur na ladki ke paas bhaagne ki jagah bachti hai.
Ye kahani hai- attachment se obsession tak,
fear se desire tak, aur ek shaks ki possession tak ki.
"kya hoga jab ek masum ladki Moh, anjane mein us aadmi ki nazron ka nishana ban jaaye... jiska obsession kabhi rukta nahi?"
janne ke liye padiye,
"Moh: Possessed by the Man She Fears"
Only with me, only on Wattpad.