sterry_eyes
A Secret Neighborhood Romance
"Jab takkar ho ek 'Khadoos Punjabi Munda' aur ek 'Chulbuli Bengali Kudi' ki, toh dhamaka hona toh banta hai!"
Radhika Sengupta-ek aisi ladki jo bina soche samjhe bolne mein mahir hai.
Bikram Malhotra-ek aisa ladka jise attitude aur discipline ke bina kuch dikhta nahi.
Padosi toh wo hain, lekin dushman number ek bhi! Ek taraf Radhika ki chulbuli harkatein hain, toh doosri taraf Bikram ka wo khadoos pan. College ki hallway ho ya ghar ki gali, har jagah bas 'Panga' hi chalta rehta hai.
Lekin kya hoga jab is nok-jhok aur takrar ke beech, dushmani ka rasta pyaar ki galiyon mein mud jayega? Kya ek 'Fish curry' aur 'Butter Chicken' wala ghar, ek khoobsurat kahani mein badal payega?
Ek aisi kahani jahan Pyaar chupke se dastak deta hai, aur Panga kabhi khatam nahi hota!
Padhiye "Padosi, Pyaar aur Panga" - Ek pyaari si takrar aur khoob saari masti!