LiteraryLover-04
"Tera Bin Jeena Nahi"
Chapter 3: Pal Do Pal Ki Baatein
Us din ke baad Aaliya aur Ayaan ke darmiyan har roz ek chhoti si mulaqat hone lagi. Kabhi library ke kisi shelf ke saamne, kabhi canteen ke ek kone mein - unki baatein dheere dheere raahein banane lagi thi.
Ayaan bohot zyada samajhdaar aur shant tabiyat ka tha. Uski aankhon mein ek ajnabee sa dard chhupa tha, jo Aaliya ko har roz aur kareeb kheenchta jaa raha tha.
Ek din, jab dono library ke pichle garden mein baithay the, Ayaan ne poocha:
"Zindagi mein sabse zyada kis cheez se darr lagta hai tumhe?"
Aaliya ne pal bhar socha, phir dheere se kaha,
"Khud ko kisi mein itna khona... ke jab wo chala jaye, toh main apne aap ko bhi na pehchan paun."
Ayaan ne kuch nahi kaha, bas uski taraf dekhta raha. Uss pal mein kuch tha - jaise waqt ruk gaya ho.
Phir Ayaan ne apna haath Aaliya ki taraf badhaya, usi tarah jaise pehli mulaqat mein, lekin is baar uske lafz zyada gehre the,
"Main jaanta hoon, kuch log zindagi mein sirf pal do pal ke liye aate hain... magar woh pal hi toh poori zindagi ban jaate hain."
Aaliya ne uska haath pakad liya... us pal ne dono ke dilon mein ek silsila chhed diya - ek aisi dastaan jo ab likhi jaani thi...
Us raat Aaliya ne apni diary mein likha:
"Uski khamoshi mein bhi itna kuch tha... jaise har lafz sirf mere liye chhupa ho."
Next part ka Liya votes or comments Kary🤍