alizay_writes4
✨🕊️🌌
🤍Pesh-e-Lafz🤍
Yeh kahani sirf chaar ladkiyon ki nahi hai...
asal me yeh kahani poori duniya ki hai.
Ek aisi duniya...jo chamak, shohrat, jazbaat aur khwahishon ke peechhe asal raaste se bhatak chuki hai.
Yahan log guzaar rahe hain magar sukoon nahi hain, yahan chehron par muskurahatein hain
magar dilon me khali pan hai.
Yeh chaar ladkiyan bhi isi bheer ka hissa thi.
Kabhi apni marziyon me gum, kabhi ghalat mohabbat ke dhoke me, kabhi rishton ke naam par hone wali khamosh qurbaniyon me.
Zindagi ne unhein woh sab dikhaya jo insaan ko tod deta hai... tanhai, dard, ghaltiyan, aur nafs ke haathon shikast.
Magar jab insaan har darwaza band hota dekhta hai, tab usey ek darwaza khud-ba-khud khulta mehsoos hota hai... Allah ki taraf lautne ka darwaza.
Yeh kahani batati hai ke gumrahi ka safar
jitna bhi lamba kyun na ho, agar qadam palat jayein to Rah-e-Hidaya mil hi jati hai.
Yeh dastaan un ke liye hai jo samajhte hain ke
woh bohot door nikal aaye hain kyun ke Allah se doori kabhi itni zyada nahi hoti ke wapsi mumkin na ho.
Aur yaqeen rakhiye... Hidayat sirf raasta nahi,
balkay rehmat hoti hai un dilon ke liye jo sach me talash karte hain.
Aur yaqeenan...
yeh hidayat aur rehmat hai
sirf un ke liye
jo imaan laate hain.
✨🕊️🌌