Abdulphirse
Do Minute ka Waqt
Wo har baar kehta tha,
"Bas do minute ruk jao."
Main ruk jaati thi.😔💔
Apni baatein, apni thakan,
apni khushi... sab do minute ke liye sambhaal leti thi.💌
Do minute kabhi phone ki battery ban jaate,
kabhi meeting,🍂
kabhi neend,
kabhi kisi aur ki zarurat.
Aur main?
Main har baar samajhne wali ban jaati thi.
Waqt guzarta gaya,
do minute ka intezaar ghanton mein badal gaya.
Phir dinon mein.
Phir aadat ban gaya.
Ek din main ne bhi kaha,
"Bas do minute chahiye mujhe."
Us din uske paas waqt nahi tha.
Tab samajh aaya-
jo insaan do minute nahi de sakta,
wo poori zindagi bhi nahi de sakta.
Aur phir main ne rukna chhor diya.💔❤️🩹⏳
Written by
Rashk e Hina 🌿 ✍🏻