Dreamsinked
Wo badhawaaz ladki hai, Layeek or rubaabdaar, dard ki mithas ka ek aala namuna, jis k tamesha me isteqbaal hai is behraham duniya ka
Koi shahzade ya rajkumar ki kahaniyo ka taskeera nahi,
Bas yakeen or sabr ki numaeyshe ka muabza hai yahan!
------
Bas kahu kya is zindagi me,
na rumani hai na ruswaiya,
na dar hai, na fikr bi,
bas Yakeen hai sachai pe!
bas Yakeen hai Rehnumai pe,
bas yakeen hai Sabr ki kahaniyo pe,
bas Yakeen hai mehnat ki meherbaniyo pe.
na khush hu, na khaas,
bas bebaaz or be-awaaz!
kuch khwahishe thi, kuch ehsaas the,
Kash ki maas ki baate rehjati badh awaaz!