Khushi is baat ki hai, mai khush hoon;
Raste mushkil chunta hoon, fir bhi;
Hawa hai palti, fir bhi;
Nind me bhi bedaar rhta hoon,
Sirf Khushi is baat ki hai, mai khush hoon.
Vo aawaz dil ki,
Kuchh is kadar keh uthi,
Ki sahme se mere man me,
Ek nyi roshni, fir uthi;
Kuchh kar guzarne ki, ek pukar sunkar,
Fir kahin tham jata hoon;
Adhkhile pankho se bhi,
Aasma chho lena chahta hoon;
Oonchi khwaishon k samandr ka,
Tal choom lena chahta hoon.
Behtar 'mai' ke khwabon me, Khud ki rooh bhi bhool jata hoon;
Khwaishon ke chaurahon ki khana-ba-doshi me,
Kuchh baton k lafzon me ghoom jata hoon,
Fir bhi khushi is baat ki hai, udti khushiyan pakadte hue hi,
Khush ho jata hoon !
Kabhi aage toh kabhi peechhe,
Kabhi aage toh kabhi peechhe,
Man k is khel ko samajhkar bhi, na samjhta hoon;
Dard E Dil ikhtiyar se,
Is Dariya ka rukh, badal dena chahta hoon..