abhi mukammal na huaa to na sahi,
munasib to hai.
raah kathin hai to kya hua,
khuda ki rehmat se ham is raah ke musafir to hai.
yu to aasman me toot kar gum jate hai kai taare,
sukra hai is kaaynaat ka,
ham zinda insano ki tarah isme saamil to hai.
bas tum sheekh lo chalna adig hokar,
ladkhadate to kayi dafa sitare bhi hai.
khusiya to milti hai kayi tarah se,
sukra hai in aakho ke sahare,
khusiyo ke khowab dekhne ke kabil to hai.
hunar hona chahiye nadiyo sa bahne ka,
uchalte to samundar ke kinare bhi hai.
mat koso kisi ko yaaro,
dhukh-e-haalaat jatane ke liye, kam se kam hame juba hasil to hai.
chaah hai agar safalta ki to chamko,
kyuki timtimate to bujhi aag ke angare bhi hai.
pooja pandey