RANKED 1 in Urdu on 1-7-18. 💕💕💕
Currently ranked #3 in family. ❤
"Moo-sa!" Dilawaiz ki duniya wahin ki wahin ruk gayi.
"M-moo-sa tum-kab-kab-aye?", woh khofzada thi. Moosa uski soch se ziyada taqatwar tha.
Dilawaiz aur zaman ki chund minute pehli howi guftugoo moosa ne sun li'n thi'n.
"Moosa!" Woh uski taraf dori thi. Moosa ghussay aur pagalpan main bahar ki ore nikla.
"Moosa-moosa mera yakeen karo jo tumne suna woh sirf adha sach hai!!!" Dilawaiz ne usko jatay dekh usay baazu se pakra.
Moosa khamosh tha ur uski khamoshi kisi khatray ki ghanti se kum nahi thi.
Dilawaiz ghabrahat k maaray kaanp rahi thi. Usay andaza tha k moosa ka radde-amal yehi hoga magar woh issay waaqif nahi thi k moosa ghussey me wehshat zada lagta hai. Usne moosa ka yeh roop pehli baar dekha tha.
"Mene jaan boojh kr kuch nahi kiya!" Dilawaiz ro rhi thi kaanp rahi thi. Woh bas us lamhay moosa ko roukna chahti thi.
"Mera yakeen karo." Dilawaiz ne apne hath se uskay munh ko apni taraf kiya.
"Moos---!!!" Woh kehne hee lagi thi k ik zour daar tamacha uskay munh pe aa para. Ander se maano uski ragain tak hil gayin.
"Aik lafz munh se nikaala tou munh tor doonga!" moosa wehshat zada nazron se dilawaiz ko dekhtey howey bola.
"Aik aur baar-" moosa ne apni ankhein ghussay se paseechi'n ur dilawaiz ki taraf ungli uthatay bola. "Aik aur baar agar tumne mera naam liya tou zaban tumhari khench dene mein mujhe zara waqt nahi lagega."
Dilawaiz ko us thappar ki taklif apne dill me uthtay mehsoos howi thi.
"Tumhein yeh qarz chukaana hoga", moosa ne usay baalon se pakar kr apni taraf ghaseeta tha.
Us waqt woh usay kisi khofnaak bheriye se kum nahi lag raha tha. Uska pagalpan uski ankhon se saaf jhalak raha tha. Uskay baazaon me ubharti nasein is baat ka saboot derhi thi k is waqt woh khudpe zabt ba mushkil kiye huwey hai.
Dilawaiz ka zehen is waqt kisi CD ki tarhan ghoom raha tha.
*A story which connects you to another world of crime, love, family bond and romance.*