" Beta Zarak Suliman vild Umar Suliman ap ka nikah Izzah Naeem binti Naeem Ahmad kay sath 5 tola sona Raij ul waqt kay tay pata hai kya ap ko qubool hai ?"Zarak Izzah ki taraf dekh raha tah. izzah ka sar jhuka huwa tah . Chehray Izzah ki taraf ki ay huway hi Zarak nai jawab diya " NAHI" izzah nai ek dam sar uthaya tah. Zarak ki taraf dekha tah . surkh jhali walay dupatay kay neche bhi Zarak woh Andaz samjh sakta tah. woh Izzah ka chehray ko par sakta tah. Woh anso jo shukar kai hotay hai izzat kai sath maa baap kay ghar se vida honay kay hotay hai. woh anso badal ga ay thay. jagah wahi thi. log wahi thay. Chehra wahi tah. ansowo ki wajah badal gayi thi... be yaqeeni . be atbari. jhutla ay janay ka ahsas... Boht kuch tah un ansowo mein. char saal pehle jo shikayat kar rahi thi wo ankhay dado ki mout par wahi shikayat thi gila tah be atnai ka ...... " 50 tola sona raij ul waqt mein qubool hai " Zarak nai izzah ki taraf dekhtay huway jawab diya . Izzah nai ankho ko zor se band kiya tah kuch lamho kay liyah. izzah nai Sar jhukaya aur chehra dosrintaraf kiya tah Zarak muskuraya tah yeh do sisters ki kahani hai. jin mein zameen o asman ka farq hai.... aur asal kahani in kay betay ki hai... jo kay ek larki se srf ese waja se shadi karta hai q k wo us kai baap ki marzi hoti hai aur woh asal mein apnay baap ko azeyat dena chahta hai.. lekin es baat se bekhabar kay wo us larki ko khud se bad zan kar raha hota hau jis se anqareeb wo muhabbat karnay lagay ga.... join me .... for the climax.All Rights Reserved