Mei agar keh du ke bohot udaas hu Mujhe hasane aaoge kya? Mujhe khush karne ke liye ek baar muskuraoge kya? Maana kahi aur chale gye, maana zindagi bhar ka gam dediye Tum bhi ek chotti si takleef uthaoge kya? Mei chahta hu tmhare saath har gam baatna Ye batao tm sehen kar paoge kya? Pehle meri har Khushi ki wajah thi ab mere har gam ki Is muskil samay mei apni jaan ko hasaoge kya? Mere paas sab kuch hai sirf tum nahi Mere is gareeb ko mitaoge kya? Mei chahta hu hamesha khush rho aap Saari khushiyaan ho aapke paas magar Mere is dard ko mitane mei saath nibhaoge kya? Jese chaand ko chakor ki gunaah ko chor ki, wese hi mere bhi kuch Zaruratein hai puri kar paoge kya? Mere har shabd mei tmhara zikr hai Kisi ko bataunga nahi par mujhe tumhari fikr hai, par tum bhi is baat ko Raaz rakh paaoge kya? Mei duniya se yun to chupata hu,apne dard aur aansu ko Par tum in aankhon se inhe padh paoge kya? Hua bhi kitna waqt tha tumse mile hue, Abhi to barsaat bhi nahi aayi thi Tumhare bina to ye baarish bhi sukhi si lgti hai Tum aake inhe geela kar jaoge kya? Mein agar keh du ke bohot udaas hu Mujhe hasane aaoge kya? @shreyaTodos os Direitos Reservados
1 capítulo