Ek 8 saal ki bachi, jisne apni maa ki cheekh aur apne baap ki bebasi ko dekha... Ek ladki, jiske haath mein 'Gudiya' nahi balki 'Talwar' thama di gayi! British Raj ke zulm ke saaye mein pali-badhi Purvi koi aam ladki nahi hai. Wo ek 'Sherni' hai! Uska sapna hai kanoon ki padhayi karke apne desh aur auraton ke liye ladna. Magar raasta itna aasaan nahi hai. Ek taraf hai uske bhai Anand ka vishwas, aur dusri taraf hai Vikram Thakur-ek raees, ek krantikari, aur ek pita... jise Purvi se shadi karni padti hai. Kya ek 18 saal ki ladki, jo kanoon aur talwar dono chalana jaanti hai, ek haveli ki zimmedariyan utha payegi? Kya wo apni step-daughter Saraswati ki dhal ban payegi? Aur sabse bada sawal-Kya wo 'Barrister' bankar un Gore Darindon ko kacheri mein dhool chata payegi? Jazbe, Inteqam, aur Junoon ki ye dastan-Purvi: Insaaf ki Aag."
More details