Is sheher me ye tez raftar zindagi,Is sheher me ye tez raftar zindagi, Kuch sikha jati hai, to kuch bhula jati hai... Ashko me khushiyan taulti hai, aur muskano ko daba jati hai... Is sheher me ye tez raftar zindagi... Is sheher me ye tez raftar zindagi... Jaha ek lamhe me rishte khatam hote hai, Aur gilaaso me yaadon ko dubaya jata hai, Jaha khwabo ka gala ghontne wale ko khuda banaya jata hai, Ye is sheher ki tez raftar zindagi... Ye mere sheher ki tez raftar zindagi... Jaha rukne wale ko bhula diya jata hai, Aur zinda hone ka matam manaya jata hai, Ye zindagi jaha sacchai ki keemat maut se chukai jati hai, Aur kanoon ki aankho me bas haryali chhai rehti hai... Afsos, magar yahi hai mere sheher ki tez raftar zindagi...