Door se chizein alag lagti hai,parchai si lagti aur pas jakr kuch aur mehsus hoti hai roshni si lagti hai ,andhera sa lagta yun lamho ka badalna sa har shay me nazar ata hai ,akhir ye dil ko tasalli dene wali shay hai kya ? Kya hi kuch samjh aati hai aur aadhi baat na samjhi me guzar jati hai . Kya maloom ye tasalli kya hoti hai, Kya khwahishon ka pura hona tasalli hai ya adhuri reh janay mein sukoon. Ye na muqammal si shay hai Adhuri reh janay wali chzion ka kya hi sochna ,iska jo ho nahi sakta uske baray me kya hi sochna. Yun ghumao daar si lagti hai sab Miljaye to na qadri aur na milay toh shiddat me guzar jati hai ... achi bhi lagti aur kabhi bahot kathin si maloom hoti hai . tasalli ke liye hi toh ham sab race me lage hai kahi kamyabi ki toh kahi chizon ki . Ehsas se bahir hojati kuch chizein,aur yaadein bhi kbhi kbhi kuch khas lamho ko toh, jese ham bhulhi jaate h ,magar na janay palko ke saye talay wo baqi rehti hai aur ankhon me jhhalak bnkr hide and seek khelti hai .... Yunhi lamho ki qadar ham aksar nhi kia karte hai...