Sitambar, १९४७ Patjhad ki shuruaat thi. Uttar-paschimi hindustan ne berehmi aur barbaadi ka kafan odh liya tha. Sab kuch kho diya tha humne - ghar, shehar, parivaar aur maine... apna pyaar. Par kuch tha jo ab bhi humaare paas tha - humari aankhon mein kaid sapne jinke pankh failaane ka waqt aa chuka tha. Zaroorat thi toh bas himmat aur khud par bharose ki.