Vasl e Yaar
  • Reads 560
  • Votes 56
  • Parts 9
  • Reads 560
  • Votes 56
  • Parts 9
Complete, First published Oct 31, 2022
Uss ka chehra Asfand ke chehre ke bilkul saamne aagaya aur dono ek doosre ki aankhon mei kho se gaye. Asfand ki shehad rang aankhei Anabia ki gehri bhoori aankhon se mili toh dono keliye jaise waqt thamm sa gaya. Uss ke haath mei maujood laltain ab ek kone mei girri thi jiss se chhat pe halki roshni ho rahi thi. Asfand ne apni ungliyan Anabia ke chehre ke kareeb ahista se kin. Apni ungliyon se uss ke chehre pe maujood dupatte ko uss ne hataya. Uss ki ungliyan apne chehre pe mehsoos karti Anabia ne apni aankhei band kar lin. Dono ke gird khamoshi ki ek leher thi jiss ko Asfand ki sargoshi ne torra. 
"Yeh neeche chal ke continue karei? Yahan se tumhara veer aa gaya toh hum dono ki jaan le lega." 
Uss ki baat sun ke Anabia ke gaal laal hone lage. Woh uss pe se hatti aur bhagte hue neeche chali aayi. Uss ke peeche Asfand laltain uthate hue, muskurahat chupaye neeche utra.
.
.
.
A tale of love, heartbreaks, families and much more. Join the journey of Asfandiyar Rehman and Anabia Shehzad to know unn ki mohabbat unhe kahan tak pohanchati hai.
All Rights Reserved
Sign up to add Vasl e Yaar to your library and receive updates
or
#64urdunovel
Content Guidelines
You may also like
Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️ by frozenRose3112
80 parts Complete
Sazaye ishq 1 ( completed✔️) Sazaye ishq 2 ( completed)✔️) Sazaye ishq ,jazaaye shabaab hasti asst Nigaar e yaar , figaar e jigro masti asst Visaal e yaar , jamaal e rukh o lub tishna Hijr e yaar , hijr e giraa'n ba hasti Ishsq... Ek aisi larki ki kahani jo baaqi har larki ki tarhaan apni zindagi ek azaad panchhi ki tarhaan guzaarna chahti thi. Par ek haadsay ne us say us ki sub khuahishain chheen lien , aur uskay har khuaab ko ek bura khuaab bana diya. Par paanchh saalon baad us ka maazi uskay saamnay aa jaaye , to wo kya karay gi. ? .......................... " main tumhain phir se keh raha hoon Ayat doosaray larkon se ghulna milna bund kardo .. Mujhay pasand nahi hai ye sub" mateen ne gussay se Kaha. " mujhay jo karna hai main wo karoongi , tum hotay kon ho mujhay roknay walay aur chhoro mera haath " Ayat ne uske haath se apni kalaayi chhurane ki koshish ki lekin mateen ki giraft aur mazboot ho gayi aur usnay apna doosra haath Aayat ke pichhli gardan pe rakh kar usay apni taraf kheencha . Ab unke darmyaan kucch hi inches ka faasla tha aur Ayat apne chehre par uski saansain mehsoos karne lagi. Aayat ki aankhon main khauf ki lehrain bhar aayi thien. Wo heraangi se Mateen ki shola baar aankhon main dekhnay lagi. "Tum sirf meri ho Ayat .... Sirf meri . Aur agar aainda mainay tumhain Haadi ke saath dekha ... Tum soch bhi nahi sakti ke main kis had tak jaa sakta hoon" Mateen ne gehri awaz main ek ek lafz daba kar kaha tha aur Ayat saktay ki si kaifiyat main aa gayi thi. Ye Keh kar wo usay wahien saktay ki haalat main khara chhor kar waapis chala gaya.aur wo wahien usay jaata dekhti reh gayi. ..................,,,,,,,,........... Ek aisay ishq ki kahani jis main ek Aashiq ne apni hi mohabbat ko barbaad kardia Humari urdu/hindi ko ek moqa dain #sazayeishq #rukhsar048 #missiondesi Highest ranking #1 in General fiction #1in Romance many times First updated 14 May 2016
𝐏𝐀𝐀𝐊 - پاک 💙✨ by QueenAnB
20 parts Ongoing
𝐏𝐚𝐚𝐤 - پاک /pure/ 𝙎𝙖𝙧𝙩𝙖𝙖𝙟 𝙎𝙖𝙡𝙖𝙪𝙙𝙙𝙞𝙣 𝘼𝙡𝙖𝙢 : 𝘛𝘩𝘦 𝘧𝘶𝘵𝘶𝘳𝘦 𝘩𝘦𝘪𝘳 𝘰𝘧 𝘈𝘭𝘢𝘮 𝘬𝘰𝘩𝘴𝘢𝘢𝘳, 𝘈 𝘳𝘶𝘵𝘩𝘭𝘦𝘴𝘴 𝘭𝘢𝘯𝘥𝘭𝘰𝘳𝘥 & 𝘣𝘶𝘴𝘪𝘯𝘦𝘴𝘴𝘮𝘢𝘯. 𝘢 𝘮𝘢𝘯 𝘸𝘩𝘰𝘴𝘦 𝘸𝘰𝘳𝘥𝘴 𝘮𝘢𝘵𝘤𝘩 𝘩𝘪𝘴 𝘢𝘤𝘵𝘪𝘰𝘯𝘴..𝘸𝘩𝘰 𝘪𝘴 𝘱𝘰𝘴𝘴𝘦𝘴𝘴𝘪𝘷𝘦 & 𝘥𝘦𝘮𝘢𝘯𝘥s 𝘭𝘰𝘺𝘢𝘭𝘵𝘺. 𝘼𝙢𝙖𝙣𝙞 𝘼𝙡𝙖𝙢 :𝘚𝘩𝘦 𝘪𝘴 𝘺𝘰𝘶𝘯𝘨, 𝘥𝘰𝘦 𝘦𝘺𝘦𝘥 𝘣𝘦𝘢𝘶𝘵𝘺 𝘸𝘪𝘵𝘩 𝘴𝘰𝘮𝘦 𝘯𝘰𝘣𝘭𝘦 𝘴𝘬𝘪𝘭𝘭𝘴 𝘶𝘱 𝘩𝘦𝘳 𝘴𝘭𝘦𝘦𝘷𝘦𝘴..𝘴𝘩𝘦 is 𝘶𝘯𝘢𝘸𝘢𝘳𝘦 𝘰𝘧 𝘩𝘦𝘳 𝘱𝘢𝘴𝘵 𝘵𝘩𝘢𝘵 𝘞𝘪𝘳𝘭𝘦𝘥 𝘢𝘳𝘰𝘶𝘯𝘥 𝘩𝘦𝘳. 𝘚𝘩𝘦 𝘪𝘴 𝘴𝘵𝘳𝘰𝘯𝘨 𝘸𝘪𝘭𝘭𝘦𝘥 & 𝘯𝘰𝘵𝘰𝘳𝘪𝘰𝘶𝘴 𝘤𝘩𝘪𝘭𝘥 𝘰𝘧 𝘈𝘭𝘢𝘮 𝘬𝘰𝘵𝘩𝘪. 𝗪𝗵𝗮𝘁 𝗵𝗮𝗽𝗽𝗲𝗻𝘀 𝘄𝗵𝗲𝗻 𝘁𝗵𝗲𝘆 𝗮𝗿𝗲 𝘁𝗶𝗲𝗱 𝗶𝗻 𝘁𝗵𝗲 𝘀𝗮𝗰𝗿𝗲𝗱 𝗯𝗼𝗻𝗱 - 𝙉𝙞𝙠𝙠𝙖𝙝...𝘄𝗶𝗹𝗹 𝘁𝗵𝗲𝘆 𝗳𝗶𝗴𝗵𝘁 𝗳𝗼𝗿 𝗲𝗮𝗰𝗵 𝗼𝘁𝗵𝗲𝗿 ? 𝗼𝗿 𝗹𝗲𝘁 𝘁𝗵𝗲𝗶𝗿 𝗿𝗲𝗹𝗮𝘁𝗶𝗼𝗻𝘀𝗵𝗶𝗽 𝗴𝗼 𝗱𝗼𝘄𝗻𝗵𝗶𝗹𝗹. 𝐉𝐡𝐚𝐚𝐧𝐤 𝐤𝐚𝐫 𝐝𝐞𝐤𝐡𝐨 𝐦𝐞𝐫𝐞 𝐝𝐢𝐥 𝐤𝐞 𝐩𝐚𝐧𝐧𝐨 𝐦𝐞𝐢𝐧 𝐏𝐚𝐚𝐤 𝐦𝐨𝐡𝐚𝐛𝐛𝐚𝐭 𝐤𝐞 𝐭𝐚𝐡𝐚𝐭 𝐬𝐢𝐫𝐟 𝐭𝐮𝐦𝐡𝐚𝐫𝐚 𝐧𝐚𝐚𝐦 𝐃𝐚𝐫𝐣 𝐡𝐚𝐢. #13 on lovestories✨
You may also like
Slide 1 of 10
Aab-e-Hayat cover
Muntazir مَنتظِر cover
Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️ cover
Sherbano  cover
Asraar  cover
𝐏𝐀𝐀𝐊 - پاک 💙✨ cover
جميله  بقلم الشيماء محمد cover
لمحے از مائرہ ہمایوں. cover
حب فى السر ( ريم و كريم ) cover
القاسي والجميله  cover

Aab-e-Hayat

74 parts Complete

Aab e hayat in roman Urdu. All rights are reserved to the authors. I am just trying to make the novels reach the audience who'll love to read this novel but can't read in Urdu Language.