zindagi bohat dhokey deti hai magar aksar logo ko un dhokoon ki umeed hoti hai apni zindagi se ya phir wo dhokey unke roz marah ke mamulat ko ziada asr andaz nahi krti magar....zimal or jibreel ~ zimal mene zindagi se kabhi koi shikwa nahi kia , mujhe kuch nahi chaie tha kia waqii aisa tha? ~Jibreel Mard kia hota hai ye sirf wo larka hi jaan skta hai jisne apna bachpan baich ke us mardangi ko kharida ho , zindagi achi nahi lagti mujhe kia waqii aisa tha? POV : " Chalo zimal utho yahan se aise ratoon ko rone se tumhara shohar wapis nahi a jae ga" , zimal ne chonk kr pardey ke peechay se ane wali awaz suni , "nahi roo nahi rhi hu ma , ma kiun roo gi or wo shohar nahi janwar tha " ye tou usne jibreel se keh dia magar uske zehan ma sawal uthne lagey wo janwar tha ya usne tumhein janwaron ki tarah chand takoon mein baich dia dobara jibreel ki awaz se wo un khiyalon se bahir ai , "mjhy koi faraq nae parhta mohtarma meri taraf se app sari raat baithi rahein yahan par magar ye tumhara watan nahi hai chalo andar koi bhi a sakta hai yahan par mujhe koi shoq nahi aik or musibat palne ka waise bhi bohat raat ho chuki hai" han! musibat wohi tou hun ma shaid puri dunya ke liye usne socha or jibreel ke peechay chal di , ye rhi meri zindagi logo ki musibat banna zimaal ne soucha , ye rhi meri zindagi itne khubsurat dilon ko dukhana jibreel ne soucha ab mamal ka pardah yahan se Jane wale logo ke kadmon ki chaap sunte hue reh gaya