" Shayari sirf ek lafz nahin hai , shayad yeh ek aisi kamai hai jo shayar apni beeti zindagi se kamate hai .Ek aisi kamai jiski koi kimat nahin Lekin haan, agar koi lagaane baith jaye iski kimat toh shayad hi voh shayaron ki shayari Ko khareed sakte hai. Batane Ko jab lafz nahin bachte ki kya hai unki ansuni kahani toh woh shayar lag jaate hai Kalam aur panne pakad ke apne dil ki baten likhne .Shayad sukoon isi me milta ho.Agar na samjha jaaye toh yeh sirf chaar mamuli panktiyaan hi hai lekin , jab samjha jaaye toh yeh puri kahani hai . Shayari likhne aur padhne me Aasman -jameen ka fark hota hai jo sirf samajhne wale hi samajh sakte hai. Aakhir me jo bina samjhaye hi samajh jaaye shayari ke roop me likhi kahani ,unko hamari taraf se dil se salaam hai..!! "All Rights Reserved