Ye kahani hai ek aise raja aur rani ki jinka milna ek ittefaq se kaam nhi hai. kon soch sakta hai ki ye dushman ek din pyaar ke bandhan mein bandh jayenge. Mohabbat ke naam pr bhi inko nafrat karne ki adat se thi aur wo ek saath zindagi bitane ki kasam kha rahe he. "Lagta hai tumhe meri baat samajh nhi ayi, mujhe meri chize dusro ke saath batne ka shokh nhi hai, ek barr bachpan mein humse hamara khilona ek ladke ne manga tha aur humne wo khilona hi tod diya, agar hum wo khilona thod sakte hai toh ye socho hum us insaan ka kya haal karenge jo hamari Jaan ke saath ghumta hai, ek baat apne dil aur dimag mein bitha lo, tum sirf meri ho aur agar kisi aur me tumhe chune ki bhi koshish ki toh hum uske haath kat denge". "Akhir tum kya samajhte ho apne aapko". " Tumhara pati aur kuch sunna hai tumhe, ab apni bakwas band karo aur mere saath ghar chalo". "Mein nhi jaungi ghar tumhare saath". " Agar tum mere saath sharifon ki tarah nhi aogi toh mein apni badtameezi pr a jaunga ".