Yeh kahani hai ek larki ki; jiska ik hi dar hai jo ke uski zindagi ka sab se bara dar hai; wo naye rishte aur naye dost banane se darti thi. Usay rishtey banane se dar lagta tha kyunke wo ab ek naye shehar mein thi, sab kuch peeche chor kar ayi hai, apne rishte apne dost or ik naye tareeke se apni zindagi ka agaz krne. Usay lagta tha ke jis se bhi wo rista banayegi, wo usay chor kar chala jayega; ya phir use hi us jagha or us rishte ko chor kr kahi or jana parega. Lekin phir us ki mulaqat aik aise shaks se hui jis ne uske toote huwe barose ko jorne ki koshish ki! kiya Eilaf; Umeed ka Nazariya badal Payegi, kiya More lega inka rishta jab khulge ateet ke raaz, kiya ye rishta bach payega ya phir ho jayega hamesha ke liye khtm?