Ek ladki jo aadarsh hai, apne aas paas ki sirf ladkia hi nhi ladko ke liye bhi jo unhe jeevan me aage badhkar apne lakshya ki taraf chalne ke liye prerit karti hai , bado ke liye ek umeed ki kiran hai unke samman aur unke jeevan ke adhure sapne pure karne ke liye , sabki musibato ki sathi banti hai , ek chamak ke sath urja se bhari huyi dikhti hai par kaise jab wo apne sapno ko pura karne ghar se bahar nikalti hai aur ek ladke se milti hai jis se wo shuruat me to kafi prerit hoti hai, jaise jaise use janti hai use pasand karne lagti hai aur us se milkar use apne sapne nazar aate hai aur tab wo khud par nazar dalti hai ki wo kya hona chahti hai aur samajhti hai ki jo ab tak wo hai wo bas sabki kahi huyi baato ki aadarsh ladki hai , apne andar dhyaan se jhankti hai to apne liye banayi huyi apni hi chhavi jo ab uski parchai jaise ho gyi thi usme khud ko nhi dhundh pa rahi , usme wo apne sapno ko pura hote nahi dekh pa rahi . Apne sapno aur apni chavi me itna antar pakar wo kho si gayi hai , nhi samajh pati ki wo hai kaun , aur kaise wo apne sapne aur apni chavi ko banati hai janenge ham is kahani me . Kya wo apne aap ko , apne pyaar ko jise wo ab apni jindagi me ek badha bhi samjhti hai iske do wajah hai us ladke ke badalte huye vyawhar aur jis samaj me wo rahti hai usme uski khud ki chavi aur shayad yahi dar us ladke ke man me bhi hai jise wo soch to ap rahi hai par uska dost in sab baato par charcha karne se bhi hichak raha hai , kya wo use pane ka intzar kre ya aage badhe aur apne jeevan me apni chahato ko pura karegi ya sirf inhe khayalo me sochte huye khud se ladti rah jayegi ?