Invisible Crime: Kuch raaz aise hote hain jo hamesha ke liye dafan ho jane chahiye... Shehar ki andheri galiyon mein ek naya khauf dastak de raha hai. Ek aisa qaatil jiske gunah "Invisible" hain. yan, ek tez-tarrar dimaag wala ladka jiska apna ateet apraadh aur khoon ki parchaiyon se bhara hai, is case ki tishnagi mein uljha hai. Woh dhoond raha hai us shaks ko jisne kanoon ki aankhon mein dhool jhonki hai. Doosri taraf Sini hai, jo apne bikhre huye sapno ko samet kar ek nayi shuruat karne ki koshish kar rahi hai. Ayan aur Sini ke raste milte hain, aur shuru hota hai ishq aur talaash ka ek aisa safar jahan har mod par dhokha hai. Kya hoga jab Ayan ko pata chalega ki woh jis qaatil ko dhoond raha hai, woh uske dimaag se bhi zyada tez hai? Aur kya hoga jab Sini aur Ayan ko pata chalega ki kaun asli dushman hai aur kaun murderer? Kya hoga is dastan ka anjam?
Karagdagang detalye