128 parts Ongoing Woh rishta na mohabbat tha, na sirf dosti,
Ek be-naam si lakeer thi,
Jismein ek taraf Amal thi-
Jo sirf pyar chaahti thi,
Aur doosri taraf Farid-
Jo pyar se darta tha.
Amal-ek aisi larki,
Jo bachpan se apnayat ko tarasti rahi,
Jisne kabhi muhabbat ki farmaish nahi ki,
Bas kisi ka saath, ek jhoot ka nahi, haqeeqat ka ehsaas chaha.
Farid-ek aisa mard,
Jo khud toot chuka tha,
Jise bharosa karna bhool gaya tha,
Magar phir bhi... Amal ke liye ek saaya ban gaya.
Usne Amal ko paisa nahi, izzat di.
Ghar nahi, lekin ek manzil di.
Pyar ka izhar nahi kiya,
Magar uski har khushi mein apna hissa zarur diya.
Dono apne jazbaat chhupate rahe,
Ek ghalat fehmi ne unka sab kuch cheen liya.
Jo rishta pyar ban sakta tha,
Woh bas ek yaad ban gaya.
Woh ek doosre ke humsafar ban sakte the,
Par waqt ne unka raasta mod diya.
Phir bhi... Farid ne Amal ka haath chhodna nahi seekha,
Aur Amal ne Farid ka dard samajhne ki koshish kabhi chhodi nahi.
Woh bekhabar mohabbat thi...
Jo keh kar nahi, nibha kar dikhayi gayi thi.
30-june-2025
#1 sad love story
20-july-2025
#1 heart broken story