8 parts Ongoing Ek kahani jo mohabbat ke junoon, intezaar aur dard se likhi gayi hai.
Ek ladka, jise duniya taqatwar, sakt aur gusse wala businessman ke roop mein jaanti hai, lekin uske andar ek aisa dil hai jo sirf ek chehre ke liye dhadakta hai. Har din ka shor uske gusse mein guzar jaata hai, aur har raat ki khamoshi uske diary ke panne bol uthte hain. Uske lafz ek hi sawal poochte rehte hain-"Kya aap mujhe yaad karti hai?"
Doosri taraf, ek ladki hai jo apne gharwalon ke taano, samaj ke bojh aur akelapan ke saaye mein jee rahi hai. Uska sukoon sirf ek diary hai, jismein har panne par bas ek hi naam, ek hi mohabbat, aur ek hi intezaar likha hota hai. Duniya ke liye woh kamzor hai, lekin apne pyaar ke liye woh rooh se mazboot hai.
Dono ke beech na sheher ka faasla, na waqt ka junoon, mohabbat ke rishton ko tod paaya. Ek hi dor hai jo unke dilon ko baandh kar rakhta hai-bepanah ishq.
Junoon-E-Ishq ek aisi dastaan hai jahan lafz diary ke panne ban jaate hain, aur mohabbat ek ibadat.