Dilruba: The Flame of Sultan
5 parts Ongoing Ek SHEHZADI. Ek SULTAN.
Mohabbat aur intiqam ki ek bemisal dastan jo likhi gayi angaron ke darmiyan.
Shehzadi Dilruba Gulbahar, apne naam ki tarah dilkash, pur-asrar, aur behad haseen. Ek jhalak aur dekhne wala fana ho jaye, ek nazar aur dil dhadakna bhool jaye, aur muskurahat aisi ki sahra mein bhi phool khil uthain.
[Shehzadi Dilruba Gulbahar-like her name, she is an enchantress. Her beauty, unmatched, like the light of the moon, so mesmerizing. It could still the wind, a gaze so deadly it could burn hearts, and a smile so dangerous it could bring empires to their knees.]
Magar taqdeer ne chali ek chaal...!
Aur kar di gayi ek Sultan ke naam.
Mohabbat se nahi, chahat se nahi...!
Balki saazishon aur siyasat ki shatranj ka ek mohra ke tor par.
[Fate played its game, and she became bound to a sultan. In the name of marriage, not out of love, but because of political alliances.]
Sultan Dildar Alamgir Shamsyan, jalal aur husn dono mein bemisal. Jalal itna ke nazarain tab na lasake, aur husn aisa ke nigah palatna bhool jaye. Saltanaton mein sab se badi saltanat qayam karne wala, doston ka dildar aur dushmanon ke liye maut ka paigham.
[Sultan Dildar Alamgir Shamsyan, unparalleled in both majesty and beauty. His glory so intense that eyes could not endure, and his beauty so enchanting that one could forget to look away. He is the one who established the greatest kingdom among all, the beloved of his friends, and the harbinger of death to his enemies.]
Ek teer chali, dil pe lagi, nazarain mili, aur shuru hui ek aisi dastan jo mohabbat ke safay par likhi gayi aur intiqam ke lahu se rang di gayi.
[One arrow was shot.
One heart was wounded.
One gaze met another.
And thus began a tale that would be written in the ink of love, but stained in the blood of war and revenge.]
Ye mohabbat ka aaghaz tha ya tabahi ki dawat?
[Was this the beginning of a love story, or the prophecy of destruction?]
Janne ke liye padhni hogi puri dastan...!
DILRUBA: THE FLAME OF SULTAN