Memory Lane: Ek Adhoori Dastaan
Ek saal... 365 din aur hazaron yaadein.
Poori duniya ne maan liya ki S.H.O. Haseena Malik us pahadi se girne ke baad khatam ho chuki hain.
MPT mein unki jagah Urmila Mahadev Mhatre ne le li hai, jo shakal se toh Haseena hai par rooh se nahi. Sabne samjhauta kar liya, par S.I. Karishma Singh?
Karishma aaj bhi har raat unhi junglon ko chhaanti hai. Uske liye Haseena Malik sirf ek officer nahi, uska poora wajood thi. Log kehte hain Karishma pagal ho gayi hai, par Karishma ka dil kehta hai ki uski MS zinda hai.
Doosri taraf, ek anjaan basti mein ek ladki hai jise log 'Hasu' kehte hain. Use nahi pata wo kaun hai, kahan se aayi hai... use bas apna naam yaad hai - Haseena.
Kya Karishma ki zidd Haseena ko waapas la payegi? Ya 'Memory Lane' ki ye galiyan unhe hamesha ke liye juda kar dengi?