Beaconhouse ke corridor mein ghoomti Sabiha Ibtisam ki kahani koi aam college romance nahi, balkay aik adhoori khwahish ka safar hai. Zavian Aurangzeb-woh naam jo Sabiha ke dil ki dharkano mein basa tha, jis ke liye usne na jane kitne khwab bunay thay. Magar jab haqeeqat ka samna hua, to Zavian ki saaf inkaar ne Sabiha ki duniya badal kar rakh di.
Ab, A-Levels ki parhai aur doston ke hajoom ke darmiyan, Sabiha akeli hai. Uska dil toota hua hai, aur college ki zindagi ab sirf parhai nahi, balkay jazbaaton ki kashmakash aur ghair-tawaqqo drama ka naam ban chuki hai. Kya Sabiha is akelaypan aur tootay huye dil ke sath aagay barh payegi, ya Zavian ki yaadein usey kahin ka nahi chhorengi?
All Rights Reserved