Author_Meer_Shahmeer
🌙 Ek Kahani... Jo Sirf Kahani Nahi Hai.
Sahil ek writer hai, lekin ek aisi kahani likhne ke liye taras raha hai jo waqai alag, nayi aur yaad reh jaane wali ho.
Jab alfaaz us ka saath chhor dete hain, woh shehar se door ek sunsaan aur pur-asrar jagah Bungalu ka rukh karta hai.
Samandar... pahaar... khamosh hawaen... aur ek aisi jagah jahan har cheez kuch kehna chahti hai.
Lekin us raat jo kuch Sahil ke saath hota hai...
woh uski likhi hui kahani nahi thi.
Ya shayad...
kisi ne pehle hi uski kahani likh di thi. 👁️
🔮 Mystery. Fantasy. Suspense. Unexplained Secrets.
Ek aisi dastaan jahan har chapter ke peeche ek raaz chhupa hai.
Kya Sahil sirf ek story likhne gaya tha... ya khud ek kahani ka hissa ban gaya?