StorybooksbyRiya
Naira Singhania, Naitik aur Akshara Singhania ki beti thi. Bachpan mein hi usne apne maa-baap ko kho diya. Uske bade bhai, Naksh Singhania, ne usse maa-baap dono ka pyaar diya aur apni mehnat se Singhania Group ko desh ki sabse badi business companies mein shamil kar diya. Naira bhi bachpan se hi padhai mein brilliant thi. Har saal college mein top karne ke baad usne business join kiya aur apni intelligence aur leadership se company ko naye mukaam tak pahunchaya.
Dusri taraf, Kartik Goenka, Manish aur Swarna Goenka ka beta tha. Uski dadi, Suhasini Goenka, ek spiritual aur visionary businesswoman thi, jinhone family aur business dono ko bakhubi sambhala. Unhi ke sanskaron ke saath bada hua Kartik aaj business world ka ek well-known naam ban chuka tha.
Dono apni-apni zindagi mein successful the, lekin kabhi ek-doosre se mile nahi the. Kismat unke liye ek aisi mulaqat likh chuki thi jo unki zindagi hamesha ke liye badal degi.