Chapter 2

1.8K 63 14
                                    

Recap: Sisters in hospital; Rhea's indecent demand, AbhiGya in dilemma and a Eavesdropper at hospital.

Scene 1:

In the last part we read that someone heard AbhiGya's conversation & it was.......non other than......our very own.......Ranbir.

Ranbir (to himself): Chief aur Aunty kya baat kar rahe hai? Rhea ne kya shart rakhi hai ab? Aur Pragya Aunty ko Prachi se kya baat karni hai? I hope sab theek ho. Aur pata nahi Mom ko kya ho gaya, woh pehele aisi nahi thi? Aaj jo kuch bhi hua ghar par uske bare mei mujhe Prachi se baat karni padegi. I just hope that she understands me aur mujhe support kare.

Flashback:

Ranbir and Vikram reached home where Pallavi and Dida were anxiously waiting for them especially for Ranbir.

Pallavi: Ranbir kaisa hai tu bachcha? Tujhe pata hai kitna darr gayi thi mai?

Ranbir: mai theek hu Mom. I'm absolutely fine.

Dida: par puttar tu kidhar chala gaya tha puttar?

Ranbir: mai Prachi ko hospital lekar gaya tha, goli lagi thi usse.

Pallavi: tujhe kya zarurat thi usse lekar jaane ki, uski maa thi woh sambhal leti usse.

Ranbir (shocked): Mom how can u be so insensitive, inhuman? Aapko toh Prachi ko thank u bolna chahiye hai. Usne apni parwah na karte huye meri aur Rhea ki jaan bachai hai aur aap aise bol rahi hai? Kya ho gaya hai aapko?

Pallavi: seedhi si baat hai Ranbir mujhe woh ladki bilkul pasand nahi hai. Uski wajah se har baar har baar koi na koi musibat tere upar aayi hai. Uss ladki ki wajah se tu mujhse, apni maa se dur ho gaya hai.

Ranbir: Mom mere upar job hi problems aayi hai unka reason sirf aur sirf Rhea hai, uski apni insecurities ki wajah se har baar woh mere liye problems khadi karti rahi hai.

Pallavi: ha toh Rhea ne job hi kiya uss sab ki wajah Prachi hi toh thi. Rhea ko nahi achcha laga jab tu usse zyada importance Prachi ko dene laga.

Vikram: Pallavi tum kya keh rahi ho, tumhe khud sunayi bhi de raha hai?

Dida: kya galat ke rahi Pallo, puttar? Jabse Prachi Ranbir aur Rhea ki zindagi mei aayi hai tab se hi hamare bachcho k saath bura hi bura ho raha hai.

Vikram: beeji mujhe yakeen nahi ho raha k aap, aap aisi baat kar rahe ho? Aap bhi apni bahu ki ha mei ha mila rahe ho?

Dida: mai Pallo ki ha mei ha nahi mila rahi, mai wahi keh rahi hu jo mujhe lagta hai.

Vikram: aap dono aisa bol kar Rhea ki karni ko justify kar rahe ho. Usne kitne galat kaam liye hai, yaad nahi aap dono ko? Ranbir par Maya k through rape ka jhoota case karwaya, woh khud ek ladki hai uske bawajood usne Prachi ka MMS banawaya usko badnaam karne k liye, yaha tak ki Prachi ko maarne ki koshish ki woh ek nahi pata nahi kitni baar.Phir bhi aap dono uski vakalat kar rahe hai? Yeh toh Prachi ki achchai hai jo usne Rhea k khilaf koi legal action nahi liya, warna usse kab ki jail ho jati.

Pallavi: ha toh Rhea ko aisa sab karne par Prachi ne hi toh majboor kiya varna hum Rhea ko kab se jaante hai, kitni pyaari aur saaf dil ki ladki thi woh. And I agree usne jo bhi kiya woh galat tha but usne yeh sab Ranbir ka pyar paane k liye kiya. Ranbir, beta Rhea tujhse bahau pyar karti hai

Ranbir: no Mom Rhea mujhse pyar nahi karti infact woh kisi se bhi pyar nahi karti except apne aap se. Mai uska pyar nahi uska obsession hu, uski zid jo woh har haal mei puri karna chahati hai bas. Aur mai aap sab se last time keh raha hu k mai Prachi se pyar karta hu aur hamesha sirf usse hi pyar karunga, uski jagah meri life mei aur koi nahi le sakta.

Pallavi (with tearful eyes): toh ab tu ek ladki k liye apni maa k khilaf jayega? Jis ne tujhe zindagi di, tu uss ma se ek adki k liye lad raha hai? Kya uss ladki k kuch mahine ka pyar tujhe zindagi dene wali maa k 21 saal ka pyar kam pad gaya hai?

Ranbir (holds her by shoulder trying to convince her calmly): Yeh sach hai Mom k aapne mujhe zindagi di hai but zindagi jeene ka reason mujhe Prachi ne diya hai, Prachi hai mere jeene ki wajah. Mom aapko aisa kyu lagta hai ki Prachi k meri life mei aane se aapke liye mera pyar kam ho jayega. Papa bhi toh aapse kitna pyar karte hai, kya iss wajah se unke dil mei Dida k liye pyar kam ho gaya? Nahi na in fact aap aur Dida ek dusre se kitna pyar karte ho, aap dono ko saas-bahu ka kam maa-beti ka relationship zyada lagta hai? Jis tarah aap Dida se pyar karti hai, unki respect karti hai usi tarah Prachi bhi aapki utni hi respect karti hai, aapse pyar karti hai.

Pallavi: meri aur teri Dida ki baat alag hai. Seedhi si baat hai Ranbir mujhe Prachi pasand nahi hai bas aur tujhe usse bhulna hoga.

Ranbir: then I'm sorry to say mom mai Prachi ko nahi bhul sakta.

And he storms out of the house ending the heated argument and reached the hospital to be with his lovely wife.

Flashback ends.......

He then opens his mobile to see the mail he got regarding a job acceptance he had applied for in the US.

Ranbir (to himself): Mai yeh mom se chupana nahi chahata but I don't think ki mom kabhi mujhe samjhegi. Maine socha tha ki mai Mom aur Dida ko apni aur Prachi ki shaadi k baare mei bata dunga but looks like woh dono meri baat samajhna toh dur sunegi bhi nahi. I just hope Prachi mujhe samjhe aur mera saath de.

He then goes to Prachi's room where he saw her sleeping peacefully. He then sat by her side and sleep took over him. The next morning as the sun rises he wakes up and saw Prachi awoke staring him with a quite smile. A while later Vikram visited the hospital to check on both of them. Leaving Vikram with Prachi Ranbir left to get fresh. A little later AbhiGya entered with breakfast and Vikram excused on the pretext of making some calls. Pragya served breakfast for Prachi and the trio had breakfast together.

After Breakfast:

Pragya: Prachi mujhe tujhse kuch baat karni hai.

Prachi: kya baat hai maa? Aap thode tensed lag rahe ho, sab theek hai na?

What will Pragya talk to Prachi? What will be the latter's reaction?

Precap: Prachi asks Ranbir for a favor. Will Ranbir fulfill Prachi's wish?

Kumkum Bhagya - Pranbir ki Love StoryWhere stories live. Discover now