Maa Mujhe Dar lagta hai bohat dar Lagta hai..
Suraj ki Roshani aag si lagti hai..
Paani ki boondien bhi tehzaab si lagti hai...
Maa hawa mein bhi zeher sa ghula lagta hai..
Maa mujhe chupa le bohat darr lagta hai..
Maa yaad hai woh kaanch ki gudiya jo bachpan mein tuti thi..
Maa kuch aise hi aaj mein tut gayi hu..
Meri galti kuch bhi na thi maa fir bhi khud se rooth gayi hu..
Maa Bachpan mein School Teacher ki Gandi nazro se dar lagta tha..
Pados k Chacha k naapaak iradoo se dar lagta tha..
Maa woh nukkad k ladko ki bewakoof baato se dar lagta tha..
Aur ab boss k waise hi isharo se dar lagta hai..
Maa mujhe chupa le bohat dar lagta hai..
Maa tujhe yaad hai tere aangaan mein chidhiya si fudak rahi thi..
Thokar kha k main zameen par gir padi thi..
Maa tune toh mujhe phoolon ki tarahn paala tha...
Un darindo ka aakhir maine kya bigada tha..
Kyu woh mujhe iss tarah masal k chale gaye..
Bedard meri rooh ko kuchal k chale gaye..
Maa tu toh kehti thi apni gudiya ko dulhan banayegi..
Mere is jeevan ko khushiyo se sajayegi..
Maa kya woh din zindagi kabhi naa laayegi..
Maa kya ab tere ghar baarat na ayegi?
Maa khoya hai jo maine kya firse kabhi na paugi?..
Maa saans toh le rahi hu..kya zindagi jee paugi?..