The Beginning

629 11 0
                                    

INTRODUCTION

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

INTRODUCTION

"Jo Raja talvaar ki nok par raaj karte hain, wo mitti me mil jaate hain. Jo Raja praja ke dilon pe raaj karte hain, wo sadiyon jeete hain."

"Wo Baadshaah hi kya jiski koi Baadshahat na ho."

"Isi mitti ke bane hain hum, issi mitti ki kasam... wo jo koi bhi hai Devi Ma, hum uska sheesh aapke charano me arpan karke rahenge. Usne aapke gehne utare hain, hum uska sheesh utaar kar le aayenge."

"Kuch chhezon ko banaya hi isliye jata hai taaki unhe mitti me milane ka luft uthaya ja sake."

"Hukumat wo jo dil se maani jaye...na ki talvaar ki nok par manvaayi jaye. Inn logon ki aastha kea age inn gehno ka koi mol nahi."

"Mohabbat se kuch haasil nhi hota... Jehennum me le jati hai ye mohhabat... Insan ko kayar bana deti hai ye mohabbat... Issi mohabbat ki vajah se zindgi adhuri reh jati hai."

"Sab kuch mil jata hai jab mohabbat hoti hai... Jiteji mano swarg hai... pyar ka ek ek pal sau janmo k barabar hota hai... Pyar kuch bhi kar sakta hai... Jallad ko insaan bana sakta hai pyaar se hi jivan poora hota hai..."

"Jung ke waqt saamne khada sipahi humari dushman hota hai par jung ke baad uske biwi aur bachhe humari Riyaya hote hain. Aur humari Riyaya par humla karne ka haq kisi ka nahi hai."

"Hum prarthana karte hain ki maa Saraswati iss samay humari jivha par viraaj rahi hon. Yadi itihaas me koi panna humare naam likha jaye to hum chahte hain ki humara naam us veer ke saath likha jaye jo jalal ka sir le kar aaye."

"Hum apse ghrina karte hain."

"Har baar kuch naya kar jati ho Amer ki Shehzadi. Hum aapke bare me sochna nahi chate par sochne par majbur ho jate hain."

"Aap humara muh to band kar denge...par humare hriday ka kya...jisme sirf shehenshaah ke liye badduaaen hi nikal rahi hai."

"Sab kuch hote hue bhi kuch na hona , rishte sirf naam ke bann ke rah jaana... Har taraf akelapan... har taraf ruswai ... Aise halaat me kya bitti hai ye hum se behtar koi nahi samajh sakta...  Aaj pehli baar hume ye ehsaas hua ki hum aur Jodha Begum dono ek hi kashti me sawar hain."

"Kyun...??? Kyun bachaya hume...? Na hume Amer ka chhoda na Agra ka."

"Kya Babar-e-Azam ke khandaan me kisi ko dard nahi hota...???  Hum mante hain hum Humayun Shah ke bete aur Mughal saltanat ke shahzade the par fir bhi humare halat Jodha Begum se judaa toh nahi."

"Raja Rani praja ke mata pita ke samaan hote hain. Unka bhi apna parivaar hota hai. Aise me unnpar tippani karna uchit nahi hai."

"

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
THE ROYAL CONFESSION - AKDHA FANFICWhere stories live. Discover now