Epilogue

3.3K 203 51
                                    

edited nhi hai kuch bhool chook hui ho to maaf kariyega

"Galti ! Jindagi ki sabse badi galti hui hai humse MS aur Anu bhaiya ki paanch saal pehle shaadi karvaake

Ek saath humaara bhai aur best freind dono paraaye ho gye dono ko humaaari koi fikr hi nhi hai ,Aur ye bhabhi DSP kya ban gyi humein bhul hi gyi hai aur SP Anubhav Singh ko to apna ghar headquarters mein hi bana lena chahiye ,aaj itna jaruri din hai aur subah se shaam ho gyi abhi tak kisi ne humein phone tak nhi kiya aur upar se jabarjasti chutti pakda di aaj ki

Amma ke retirement ki date jab se nazdeek aa gyi hai tab se Thaane mein hi rhti hai pure vaqt yaad bhi nhi rahta ki inki bahu bhi hai humein na inhe Sub inspector banaake inke kisi case ko apne dum pe solve karne ki muraad puri hi nhi karni chahiye thi inhe to yaad bhi nhi hoga aaj kya hai

aur Vani arre nhi nhi DSP Vyom Singh ko to apne missions se fursat mile tab to ghar padhaare pahle to humaari har ek choti bdi baat yaad rhti thi aur aaj apni karu ka itna important day bhul gye ab aaye humaare paas karu karu kehte hue fir bataayenge

Mana ki Santu aur cheetay ki nyi nyi shaadi hui hai par iska mtlb ye thode hai ki humein bhul jaayein , ye cheeta aur santu jab se temperory SI bane hai na dono ke parr nikal aaye hai ,humko behen maante hai na ye dono fir kaise bhul gye itna inportant din

Billu ,Sunny ,I aur B sab araam se baith ke gappe lada rhe honge badnaam ki banaayi us jeher jaisi chaay ko peetay hue

aur to aur Ma baba aur chacha chachi ne bhi humein phone tak nhi kiya

Aapko pata hai aaj humaara janmdin hai par aapki dadi ,nana nani, Mama mami , bua aur yaha tak ki aapke papa kisi ko bhi yaad nhi hai ki humaara birthday hai

pata nhi achanak se itna pyaar kaise aa gya in logon ko humpe jo aaj chutti de di pakka kuch to gadbad hai "

KS was saying this to her 8 months old son Vihaan, She was roaming in the whole room while fuming in anger and blabbering this to Vihaan who was listening it very attentively such that he was understanding each and every statement of her mother

KS- ye aapki Mami badi humaari best freind banti firti hai vaise to humaare dil ki baat bina bole jaan jaati hai par abhi inko ye bhi yaad nhi ki humaara birthday hai aapki mami na din badin khadoos hoti ja rhi hai

Listening this ,suddenly Vihaan started crying vigorously KS picked him into her Arms

KS- ha ha jaante hai aap bhi aapki mami ke hi chamche hai unhe kuch bolo to aapka rona chalu ho jaata hai pura ghar sir pe utha lete hai aap ,shaant ho jaiye dekhiye hum kuch nhi bol rhe hai unhe vaise aap na bilkul humpe gye hai hum bhi unke khilaaf ek shabd nhi sun sakte (she said while winking )

Harish giggled seeing which KS laughed

Just then KS's cute little 3 years and 2 months old daughter Kashvi entered in the room with a Dress in her hand

Kashvi- ma dekho na humein na mann hai aapko is Dless mein dekhne ka plss pehen ke dikhaao na(she said while giving KS the
dress)

KS- pahle to beta vo dless nhi dress hota hai dusra ye ki humein abhi mann nhi hai

Kashvi - Ma humaale mann se pahen lo na plss

KS- ha ha baha lo humein jajbaat mein par beta ye dress to kabhi humne kharidi hi nhi to fir ye aayi kaha se

Kashvi - jajbaat nhi ma jazbaat aur Tajulba kehta hai humaala jab aam khaane ko mil lhe ho to guthliyaan kon ginta hai aap pehen ke dikhaao na humein

Maddam sir - marriage twistWhere stories live. Discover now