PART #7

1.1K 113 7
                                    

In kitchen:

AS: MS mallik strange waqai apko kuch banana nahi aata.

HM: nahi. Humain cheeni, namak, haldi, mirch kisi bhi cheez ki koi pehchan nahi, Ammi nay humain kabhi kitchen mei aanay hi nahi diya...

AS: lagta nahi hai MS mallik ap jaisi qabil officer ghar k kamon mei itni na Qabil ho gi

HM: sir ap sirf humari bayizzati hi Karen gay ya humain chai banana bhi sekhain gay.

AS: ya of course.
Ek sauce pan mei pehlay doodh dalen , phir shakar, phir thori sa chai masala or phir chai ki patti isay thora sa heat dyn gay k sari cheezain apsas mei achi tarha ghul mil Jaen phir strainer say cup mei strain Kar lyn gay simple....

HM: wah sir ek toh buhat hi aasan hai.

AS: ji buhat aasan hai or khana banana bhi itnay .mushkil nahi hai MS mallik. Ap chahean toh deekh sakti hain.

HM: toh ap humain classes dyn gay.....

AS: MS mallik.

HM: sorry sir....

AS: acha theek hai hum apko dekha dyn gay lekin bad mei pehlay yeh lay k bahir chalen warna yeh thandi ho jaey gi.

HM: ji sir chalen...

Maa: chai toh buhat achi bani hai.

AS: haseena mallik nay banai hai pehli bar.

HM: par sir nay humain guide kiyà tha humain kahan aati hai chai banani.

AS: par banai toh ap nay hai.

HM: par cheezon mi quantity toh ap nay batai thi na sir.

AS: lekin....

Ammi: bus karo tum dono , maan liya yeh chai tum dono nay mil k banai hai ab khush.

HM: ji Ammi.

Ammi: khanay ka samay ho gaya hai surbhi tum dono khana kha k jana...

AS: nahi Ammi uski koi zaroorat nahi hai. Waisay khana ap buhat achay banati hain.

Ammi: tumhain kaisay pata.

HM: Ammi aj hi sir nay ap k hathon ka bana shahi paneer khaya tha.

Surbhi: Salma aaj tum nay shahi paneer banaey thy woh toh humain buhat pasand hain.

Salma: humain pata hai ruk hum abhi latay hain tum sab hath dho k aa jai khanay ki maiz par.

HM: ji Ammi , aunty aaen hum apko wash basin tak lay chalen.

Surbhi: theek hai.

HM: aunty khanay k bad hum apko apna ghar dekhain gay.

Surbhi : theek hai beta.

After having dinner they sat on launch.

HM: aunty chalen hum apko apna or Ammi ka room dekhatay hain.

Surbhi: chalo.

She enters in her room.

HM: yeh hai SHO haseena mallik ka kamra.

Surbhi: wah har cheez ek dum apni jaghay par hai, wow yeh kitni sundar handicrafts hain tum nay banaen.

AS: maa shaid ap bhool rhi hain Ammi nay abhi bataya tha k MS mallik ko ghar k kamon mei koi dilchaspi nahi hai...

HM: ji nahi aaisi bhi koi baat nahi hai hum ghar k kamon mei Ammi ka hath batatay hain sirf apnay har kam par Ammi par dependent hain, humain acha lagta hai k Ammi humaray liay kuch karen.  Yeh handicrafts hum nay hi banaein hain.

Anuseena: Dar say dil takWhere stories live. Discover now