01- Randheer ki raanjhan

998 39 74
                                    

This is an os on the current track of kyu utthe dil chod aaye , this is an imaginary plot dealing with how I want this track to end
Amrit after knowing about the deeds of veer and getting blackmailed got ready for the wedding to save her love from phaasi and while she was going to mandap vashma spotted her
V- Oye yeh dulhan ka joda pehen k aise kyu saji h tu amrit hosh toh thikane p h n tere, randheer waha jail m h aur tu
A- with emotion less face sahi jagah toh h bohot bure aadmi h woh tujhe pta h n saroj bhabhi k saath kya kiya tha unhone, maine faisla kr liya h main aise galat aadmi k saath koi sambandh nhi rakhungi aur hatt aaj meri veer s shaadi h
V- bilkul sahi kaha oye bura aadmi h n woh, accha hota woh bura aadmi kbhi yaha aata hi nhi, accha hota agar uss din fahrukh n maar di hoti goli unhe toh
A-yelled loudly vashma, khabardaar jo mere randheer k baare m aise bola toh,bhul jaungi ki Tu meri pakki saheli h
V- oye jb itna pyaar krti h toh uss veer s shaadi krke use dhokha kyu de rhi h
A-crying unko bachaane k liye hi toh yeh shaadi kr rhi hu main
V- matlab ki h tera aur sach sach bol mainu
A- dhokha, dhokha hua mere saath vashma uss veer n meri acchayi ka fayda uthaya h, usi n randheer ko uss jhuthe case m phasaya h
Bohot saare sabut h uske paas woh kuch bhi kr skta h faasi bhi ho skti h
V- oye pher bhi main tujhe yeh shaadi nhi krne dungi
A- Tu kuch nhi kregi vashma vaada kr mainu mere paas mere randheer ko bachane ka bs ek hi tariqa h pls mainu woh tariqa apnaane de

Flashback starts
Amrit was searching for some clues to save randheer when she got to know about that veer's kartut
She ran to the mahal and after taking out veer's pistol placed it in front of his forehead
A- tmhari himmat kaise hui veer mere randheer k saath aisa krne ki,pura bharosa kiya tha tum pr,tmhe ek accha insaan samjha tha maine, apna dost maana tha aur tmne itna ghinona ilzaam lgaya unpe are sharm aani chaiye tmhe galti toh meri h randheer baar baar smjhate gye par maine unki nhi suni aur tm jaise ghatiya insaan p bharosa kiya
Veer twisted back her hands and took that gun from her
V- tumhare randheer n sach hi bola tha k main bharose k laayak nhi hu, tm meri jaagir ho amrit aur hum tumhe uss randheer ka kabhi nhi hone denge
A- with ferocious eyes hone nhi denge mtlb main toh unki hi thi, unki hi hoon aur marte dum unki hi rahungi phir chahe tu kuch bhi karle
Tune aaj tk pyaar kiya hi nhi h veer agar krta toh pata chlta k jb do log pyaar krte h n toh apne pyaar k liye iss duniya ki kisi bhi taakat s lad jaate h apne pyaar ki khaatir
V- haa toh phir thik h lado apne aap s, apni aatma s aur krlo hamse sach much ki shaadi kyuki ab randheer ko sirf hum hi chuda skte h aur tumhe toh hamare jidd k baare m pata hi h hum apni kisi bhi cheez ko jaane nhi dete aur tm toh woh ladki ho jisne pehli baar hamare baare m socha h, tmse acchi ladki hume aur kaha milegi
A- meri acchai ka yeh sila diya h n tmne toh thik h tujhe shaadi krni h n mujhse toh kr le, lekin yaad rkhna mera jism, mera dil aur meri rooh sirf aur sirf randheer k naam h aur main kbhi tujhe use haath bhi nhi lagane dungi.
Aur ek baat acche s yaad rkhna veer agar mere randheer ko kuch bhi hua ya phir shaadi k baad tune unke saath kuch bhi bura kiya toh main tera woh hasr krungi jo tune kbhi sapne m bhi nhi socha hoga aur yeh vaada h mera, randheer ki raanjhan ka tujhse
V- toh theek h jao aur fatafat iss dulhan k jode ko pehen k aao, tb tk hm tmhare aashiq ko baahar nikalwate h
Veer left the room
A- hysterically crying in a corner on her fate Kyu hamesha hamare saath hi kyu hota h jaise hi khushiyaan aane wali hoti h aap kyu chin lete ho rab ji kyu
Wiping her tears Pr main yeh shaadi krungi, apne randheer ko bachaungi bhale hi badle main unki nafrat kyu n mile mujhe
Flashback ends
Ho trying to make her understand Oye paagal tune socha h Tu unhe jail s toh nikaal degi pr kya woh khush reh paega oye tu yaha marti rhegi aur woh waha marr jaega tere bina
A- toh kya kru main vashma koi raasta nhi dikh rha h mainu
V- oye nikaal apne andar ki raanjhan ko lad jaa unse jo tere raaste m aaye randheer ki raanjhan ban k use bacha le
A- maine bohot koshish kr li ab mere saamne bas ek raasta h aur woh chahe jaise bhi h mainu manjoor h

Randheer Ki RaanjhanWhere stories live. Discover now