PART 25

292 22 18
                                    

After 10 minutes the doctor too came. He checked anika.

Doctor- inhe panic attack aaya tha...phir se...maine pehle bhi kaha tha mr raizada ki she is going through a lot of stress...aur inke liye stressful environment thik nahi hai...jaise ki aapne inki medical history batayi thi...miscarriage aur apne pati ko khone ke dard se vo aaj tak ubhar nahi pai...i am afraid to say that she has slipped into depression...mr raizada miscarriage ke baad patient ko mental ke saath saath physical healing ki bhi zaroorat hoti hai...mentally toh main aapko bata chuka hu she is not doing well but jo physical healing inki chaar saal pehle honi chahiye thi vo bhi nahi hui aur ab uske side effects hone lage hai...i would suggest aap inhe ek healthy environment de...inki diet ka bhi khaas dhyaan rakhe...filhaal main kuch medicines prescribe kar rha hu...aap inhe vo de dijiyega...saath me ek injection hai jo ham miscarriages ke baad prescribe karte hai patients ko...aap vo bhi inhe lagwa dijiye...ek mahine tak roz inhe vo injection lagana hoga...main ek nurse ko bhej dunga

Arnav taking the prescription and passing it to abeer- uski zaroorat nahi hai...mujhe injection lagana aata hai

Doctor nods- iske thode side effects honge jaise neend nahi aana ya kabhi kabhi bohot zyada neend aana...bhook nahi lagna etc etc...par aapko inka pura dhyaan rakhna hoga aur inhe akela mat chodiyega...generally aisi stage me aakar patients suicide attempt karte hai

Arnav- we'll take care of her...thankyou doctor

Doctor leaves.

Arnav sits beside anika and caress her hair.

Arnav strictly with a no nonsense voice- aaj ke baad naa toh ishitaji ke baare me baat hogi...naa mr raizada ke baare me aur naa hi anika shivaay ki shaadi ke baare me...main ab aur tamasha nahi chahta aur naa hi apni behen ko roz toot te huye dekh sakta hu...i want her to be happy isliye ab mujhe hamare ateet ke baare me koi discussion nahi chahiye...i hope i made myself clear

Anjali- arnav aaj jo bhi hua uske baare me bhale hi tum baat nahi karna chahte par mujhe karni hai...chalo mere saath

Anjali holds arnav's hand and takes him to the hall.

In hall

Anjali- kya matlab tum baat nahi karna chahte arnav

Arnav- di...aap kya chahti hai...roz ye sab baatein ho...roz meri behen behosh ho...roz ham roye...samajhne ki koshish kijiye is waqt yahi sahi hai ki ham hamara ateet bhulakar ek nayi shuruaat kare

Dadi ma interrupts- us ateet me khushi bahu bhi thi...bhul paoge

Arnav- sirf buri yaadein bhulne ko keh rha hu dadi ma...khushi aur adi hamesha hamare dil me rahenge par unke hamari zindagi me aane se pehle aur unke jaane ke baad jo kuch bhi bura ham sab ke saath hua ham use bhula sakte hai

Siddharth- arnav bilkul sahi keh rha hai...anjali ab ye sab chodo aur arnav ki shadi aur anika ki tabiyat ke baare me socho...aaj sangeet hai naa

Anjali nods. Everyone move towards their rooms.

Arnav was passing abeer and varsha's room when he listens some noise from their room. The door was open so he peeks in and sees that abeer was crying keeping his head on varsha's lap while she was controlling her tears so that she doesn't break infront of abeer.

Arnav knocks on the door. Abeer and varsha see arnav. Abeer immediately gets up and wipes his tears. Varsha also makes herself presentable.

Arnav walks in and cups abeer's face with one hand. That was it for abeer. He hugs arnav tightly and cries inconsolably. Arnav pats his back. He looks at varsha who was trying to hide her tears. He forwards his hand to varsha and gestures her to come. Varsha holds his hand and hugs him.

Arnav consoles both of them. After sometime he makes both of them sit on the bed and himself sits on the couch in front of the bed.

Abeer like a 5 year old kid- bhaiya anika ke saath hi aisa kyo hua...aapko pata hai jab main uske sath rajvansh house gaya na vaha par use us kamre ka darwaza khulwana tha jaha par adi ne..adi ne apne hone wale bacche ke liye room decorate kiya tha...bohot pyaar se sajaya tha bhaiya...pink and blue ka combination...cradle...bacche ke liye kapde toys...sab kuch...bhaiya anika bohot ro rahi thi...use vo sab kuch yaad aa rha tha jo adi ne uske aur uske bacche ke liye kiya tha...main use aise nahi dekh paya

Arnav- abeer sshh...i understand...lekin abhi anika ro rahi hai toh hame nahi rona chahiye na...hame strong hona hoga taki ham use sambhaal paye

VArsha crying- lekin bhaiya anika hi kyo...vo ye deserve nahi karti...vo sabki help karti hai...kabhi kisi ko naa nahi karti toh fir usi ke saath kyo...aapko yaad hai na anika ki wajah se hi abeer ne mujhe propose kiya tha...jisne meri shaadi karwane ke liye itna sab kuch kiya usi ki shaadi me aakhir aisa kyo hua

Arnav- varsha stop crying...it's not good for your health...accha dekho tum ne hi kaha na anika ye deserve nahi karti...bhagwaan ne ye sab uska test lene ke liye nahi kiya balki hamara test lene ke liye kiya...bhagwaan jaan na chahte hai ki main kya use sirf kehna ke liye beti kehta hu ya maanta bhi hu...lekin main bhi ye prove karke hi rahunga ki anika hi meri pehli beti hai

He sees both of them sad.

Tere Liye Season 2Where stories live. Discover now