Spill out the feelings

2.7K 164 16
                                    

Introduction:
Today's episode(19/7) literally made me irritate... They have Neil Bhatt who can pull the scene with his outstanding expressions alone... And who is an outstanding performer.... They have Ayesha singh who can make the scene beautiful with her cuteness and brilliant acting...
I am not satisfied with Sai and Virat characterisation ....
Virat's jealousy is getting beyond the limit... Sai is just revolving around pakhi and Virat's relation....
So I want to make changes in today's episode... I want to write it in my way... Please support if you like the story .... It's gonna be lengthy... Please cope up with that .... Moving on....
(Note: starting it's gonna be similar..)

In Sairat room:

After all the celebrations.. everyone went back to their rooms...
Virat got freshen up and sai went to freshup... Virat is sitting on the bed ... Lost in his thoughts... He is feeling bad and jealous remembering Ajinkya and Sai moments in her bday celebrations... Sai is so happy and comfortable around Ajinkya... She hugged him too....
While he was thinking sai came out of washroom....
Sai: aaj bhohot maja aya.. hai na virat sir... Aur bhohot kha bhi liya... Cake phir Modak phir cake... Aaj tho dho dho bday cakes kaatli maine ... Maina bhohot bhohot kush hu ..
She sees virat looking upset...
Sai: virat sir... Ab aapko kya hogaya aise sade hua shakal kyu banaye hai.... Niche bhi maine observe kiya apko ...aapka mood achanak se badal gaya... 
Virat: observe tho maine bhi kiya tha... Kitni kush lag rahi thi tumhare un dosthon ke saath... Gale laga kar thank you bhol rahi thi... Aur mujhse pair chookar... Itni sanskari sirf mere samne banna hotha hai kya tumhe...
Sai: sanskari?!?.... Mai aapke pair chuye kyunki mai aapki dil se izzath karthi hu... Isme itni problem kyu ho rahi hai aapko...
Virat: problem.... Bade bujurgo se ashirwad lo pair chuo... Mujse kyu...
Sai:(in funny way) aap bhi tho bujurg hai...
Virat: mai budda lagtha hu tumhe...
Sai goes to him holds his hand and takes him to the mirror and make him sit on couch in front of the mirror...
Sai: dyaan se dekhiye... Safedh baal... Iska matlab yahi hotha hai na ki aap budde ho rahe ho..
Virat: acha... Isliye tumhe mai pasand ki nahi hu...
Sai: aap mujhe pasand hai ya nahi usse kya farak padta... Mai thodi na aapki biwi ban kar rehne vaali hu humesha keliye...
Virat: tho phir kisiki banogi Sai... Us Ajinkya ki... Are haa.... Voh tho tumhare age ka bhi tho hai...
Sai: virat sir... Yeh aap kya bhol rahe hai... Soch samajh kar baath kijiye...
Kuch bhi bhole jaa rahe hai .... Ajinkya mera dosth hai aur yeh baath maine aapko kayi baar bhol chuki hu...
Virat: (repeating her words)soch samajh kar bholu.... Aur kya Sochu sai... Tum kabhi bhi mujhe pasand nahi karthi... Lekin mai tumhe pasand kartha hu... Tum mujhe sabse alag aur khaas lagthi ho....
Sai: mujhe aise baathe majak mein bhi nahi pasand...
Virat: mai majak nahi kar raha... Sach bhol raha hu... Lekin tumhe mai sirf ek kadoos insaan lagtha hu... Mera parvah mera care kuch nahi diktha tumhe...
Sai: aisa nahi hai virat sir.... Mujhe diktha hai... Aapki parvah... Aap mujhe kush karne keliye itna sab kuch kiya hai... Aaba ki tarah Modak banaye hai... Voh gift... Diamond ring bhi diye hai....
Virat: oh... Tho tumhe yaad hai... Mujhe tho laga ki tumhare dosthon ke chakkar mein ring ke baare mein bhool gayi ho...
Sai: bhooli hu tho ab kaise batathi... Virat sir jab aapne voh gift dena chaha tho aai ka call agaya aur jaldi se andhar aane keliye kaha tho usme mai kya kar sakthi hu... Aap abhi tho de sakthe the kamre mai...
Virat:(feels a bit happy takes the ring box opens it) acha... Tho kya mai pehna du...
Sai gives her hand to him... He places the ring and asks her kaisi hai..
Sai: bhohot achi hai... Yeh gift hi hai na...
Virat: matlab.?
Sai: bday gift hai tho teek hai .... Agar ek husband apne wife ko detha hai pyaar jatane keliye tho mai nahi le sakthi Kyunki humare shaadhi deal hai tho in sab keliye koyi jagah nahi hai na...
Virat is standing behind her facing her back... He felt broken listening that... But he badly wants her to wear that ring... So he controls his pain and says
Virat: ha... Bday gift hi hai... Aur..kya ho sakta hai...
He moves towards her...
Yeh ring kabhi nahi utaro... Na tab jab humare jagde ho... Na tab jab mai tumhe kisi baath pe disappoint karu aur na tab jab mai hi na rahu...
She places her finger on his lips... They have an eyelock for few moments and she withdrew her hand...
Sai: yeh aapko kya hogaya hai... Aise baathe karke aap sara mahol serious bana diya... Don't worry... Mai yeh ring kabhi nahi utarungi .. humara ristha itne asani se tootne nahi doongi...(he smiles listening this)... Jab mai is ghar se chali jaungi na tab bhi aapse milne aathi rahungi... (That's it he smile vanishes..) aapko problem tho nahi hogi na mujhe milne keliye...
Virat: phir se ghar chodne vaali baath... Tum humesha vahi kyu atak jaathi ho... Ha hogi mujhe problem... Bhohot problem hotha hai mujhe ....
He takes a deep breath...
Mujhe yeh baath samajh nahi aathi ki tumhe meri baathen mere kiye hua kaam tumhe samajh aathe bhi hai ya nahi... Ya phir tum samajna hi nahi chahthi ..
Sai: mai kya nahi samajthi virat sir... Sab kuch samajh atha hai mujhe...
Virat: acha... Teek hai sai ... Mere questions ka answers dethe raho agar mujhe answer de nahi paa rhi tho aapne aap ko dedho...
Sai: teek hai poochiye ....
Virat: kya tumhe Shaadhi ke samay virat aur aaj kal ke virat tumhare oor behaviour mein koyi changes nazar aa rahe hai..
Sai: ha changes hai.. pehle humare jagde bhohot hothe the .. aaj bhi hothe hai lekin thoda bhohot tho hum ek dusre ko samajh rahe hai ..aur Shayad ache dosth bhi tho hai....
Virat: shayad...dosth... Mmm....
He comes closer to her ... More closer with a little gap... She didn't move back but she is confused about why he is coming closer...
Virat: kya tum tumhare baaki dosthon ko tumhare itne kareeb aane dethi ho...?
She steps back listening the question and stays quiet not looking at him...
Virat: patha tha ki tum javab nahi de paogi... Patha hai kyu... Kyunki mai tumhare liye sirf dosth nahi hu... Lekin tum is baath ko manogi nahi...
Sai... Saaf saaf keh detha hu... Mujhe us Ajinkya ka tumhare pass aanaa tumse baath karna acha nahi lagtha jaise tumhe meri aur paakhi ka baath karna acha nahi lagta tha....
Sai: aisa kuch nahi hai... Mujhe koyi farak nahi padtha ki aap aur pakhi didi ke dosthi se.... Mujhe farak kyu padega jabki aapne pehle hi shaadi vale din hi clear kar diya tha ki aap committed hai aur mai aap dono ke dosthi ke beech mai na aau...
Virat: committed tha sai... Tha... Hai nahi... Aur yeh baath maine pehle bhi keh chuka hu tumse... Yeh bhi kaha ki mai purana koyi commitment nahi nibha raha hu aur naahi nibhana chahtha hu...
Sai: kyu mai beech mein aagayi isiliye....
Virat: tum kisi ke beech mein nahi aayi ho... Tum...
He stopped as he saw someone standing near the door... He opens it and finds pakhi with teary eyes.... Sai is not amazed seeing pakhi as it's her habit... But this time virat got irritated
Virat: pakhi... Tum yaha... is vakth....
Pakhi: voh... Kuch... Kaam tha tho....
Virat:Kuch kaam tha tho door knock karthi na yaha kade rehne ka kya matlab hai... kahi humare baathe sun tho nahi rahi thi.....
Pakhi couldn't give a proper excuse this time... That gave virat the answer that she was standing there and listening their conversation... This irked virat more....
Virat: oh god.... Tum dono ko hi mere baathe samajh nahi aathi...
Aur pakhi tumhe mai kitne baar bhol chuka hu ki pati patni ke mamlo mein tumhari Dhakal dene ki jarurat nahi hai... Lekin nahi... Tumhe tho jaanna hai ki virat aur sai ke beech mein kya chal raha hai... Hai na...?
Pakhi: tum yeh kaise baat kar rahe ho virat...
Virat: aur kaise baath karu... Tak chuka hu mai... Aaj sabko clearly batha detha hu... Sai tumhe lagtha hai ki tum beech mai aa rahi ho ... Hai na..?
Nahi... Tum beech mein kabhi nahi aayi ho... Are tumhare aane se pehle hi yeh ristha toot chuka tha....
Pakhi:(in shock) virat....
Virat: sahi tho bhol raha hu pakhi... Yeh ristha toot tho gaya tha jab bina kuch jane mera number block kar diya tha aur samrat se shaadhi ke liye maan gayi thi... Agar mai haldi pe ya phir shaadhi pe aaya hi nahi hotha tho tum shaadhi kar chuki hothi na...
Pakhi: lekin virat.. maine tho tumse request ki thi ki hum bado se baat karke convince karenge.... Tum mein himmath nahi thi aur voh vadaa diya... Ab voh vaadaa thod bhi diya tumne jaise meri dil aur meri jindagi thod di...
Virat: tumhe samrat apne biwi maan chuka tha... Kitna kush tha mera jeeva ... Poora parivaar bahu maan chuke the tumhe... Ha mujhme himmath nahi thi ki mai un sab ka dil thodu kaas karke mere jeeva ka voh bhi dho din ke pyaar keliye.... Aur voh vadaa... Maine do baathe kaha... Ek ki mai apni jindagi mein koyi aur ko jagah nahi du...(listening this sai became sad) tab mujhe laga ki mai kisi aur ke baare mein soch bhi nahi saktha tha... Lekin ab (looking at sai)... Ab nahi....(looking back at pakhi) Mai voh vada nibhana nahi chahtha... Aur agar nibhatha bhi humare beech kuch nahi badalta..... Aur dusri baath yeh hai ki mai tumhara dosth ban kar rahunga... Yeh mai abhi bhi nibha raha hu... Isi karan se tumse abhi bhi baath kar raha hu mai... Maine koyi barosa nahi diya ki voh rishtha mai nibhaunga.... Kabhi nahi kaha aur kabhi soch bhi nahi saktha... Tum samrat ki patni ho... Bas... Aur kuch nahi... Mai move on kar chuka lekin tum us baare mein soch bhi nahi rahi ho... Agar tumhe lagtha hai ki mai hi tumhare saari problems ki karan hu tho dosth jaisa advice doonga... Virat ko bhool jau aur aage bado... Samrat ko vapas lana meri zimmedari hai... Agar tumhe use bhi takleef hai tho ek aur better option hai... Is ghar se parivaar se aur samrat se risthe thod dho.... Kisiko problem nahi hogi.... Teek hai .. aur ha request hai... Yeh sab thana ya beizzati jaisa math lo aur socho is baare mein.... Par abhi Keliye good night... Yeh night duty bandh karke apne kamre mai jau aur so jau...bye...
Pakhi feels insulted as always... She leaves crying...virat takes Sai inside the room and closes the door...
Sai: yeh aap kaise baath kar rahe the pakhi didi se...
Virat: aur kaise baath karu... Kitne baar bhol chuka hu usse ki mai....
Sai: aap kya...? Aage bholiye...
Virat: kya bholu jab mujhe samajhna hi nahi chahthe ho tho...
Sai: dekhiye mujhe kuch samajh nahi aa raha hai aur aap baathe ko ghuma phira kar bhol rahe hai...
Virat: mai ghuma phira kar bhol raha hu? Aur tum.... Tumhare baathe tumhare harkathe aise hi hothe hai sai...
Sai: mere..? Aisa kya kardiya maine...
Virat: acha... Suno phir.... Mujhe kuch hoga is baath se takleef hothi hai tumhe... Mai jab bhi marne ki baath kartha hu tum mera muh band kar dethe ho... Aur tumhare ankhon mein mujhe dard, dar diktha hai... Humesha se ghar chodne ki baath karthe ho lekin jab maine kaha ki tum hostel jane ki taiyyari karo tho tumne kaha ki tumhari marzi hogi... Mera kareeb aaana bhi tumhe manjur hai ...
Sab ke samne stage par mujhe garv se apna pati bhi bholthi ho.... Lekin ab kya bhol rahi ho ki humari shaadi ek deal hai aur kuch nahi.... Like seriously sai...? Tumhare liye yeh shaadhi ek deal ho sakthi hai... Lekin mereliye nahi.... Aur mai yeh ristha nibhana chahtha hu...
Sai is like 😳
Virat takes deep breath...relaxes and goes near sai... Holds her by shoulders...
Virat: sai... Tumhe sab kuch saaf saaf bhol diya hai maine....  Ek aur baath bhi hai jo mai yeh ring dethe vakth kehna chahta tha...
(Closes his eyes trying to gather confidence and opens his eyes... Looks sai) I love you Sai.... Mai tumse pyaar kartha hu... Bhohot pyaar.... Tumse yeh baath holi ke time se batana chah raha tha... Lekin kuch na kuch hojatha hai ya phir koyi na koyi beech mein aajathe hai...yeh bday celebration tumhare situation pe taras kaake nahi balki apna pyaar jatane keliye kiya hai... Apni patni ko saari kushiya dene keliye kiya hai jo voh deserve karthi hai .... Ab virat sai ke bina kuch nahi raha....
Please samjho.... Please...
He leaves her and continues...
" Koyi force nahi kar raha hu par Tumhare feelings ko bhi ek baar cross check karo... Tumhe is rishtha manne se jo bhi questions rok rahe hai un sabka javab de diya hai maine... So is baar apne feelings se bhagna math... Ab humara ristha tumhare haath mein hai... Tumhari koyi bhi faisla mujhe Manjur hoga lekin tab jab voh faisla tumhare dil se hoga....
I am sry gusse mein frustration mein kaafi jyada bholdiya tumhare us dosth ke baare mein... Aur raath bhi bhohot hogayi tho so jau....
Good night..."

......................................................................





Sairat's  Confessionजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें