Part 2(C)

764 39 5
                                    


(Continued from the previous post)

In the train

Ishqi- Auntyji aap dhire dhire karke aapke ateet k baare mai mujhe achhi tarah bata dijiye agar aap chaho to, taaki mai aapki madad kar saku. Subah train Delhi pohochne se pehle bohot time hai aapke paas.

Maasi- Haan behenji aaram se bata sakte hai.

Savitri- Mere husband VM, purra identity ab mai nahi bataungi, pehle accha khasa insaan hi tha. Usne ek construction business k start up shuru kiya tha. Unke do chote bhai ye the. Ek k shaadi ho chuka tha aur dusra college k hostel mai rehkar parhai kar raha tha. Phir hamara ek larka aur phir ek larki k janam huwe. Dewar ko v ek larka hua. Tab tak hum sab khush the. Bare dewar unko business mai madad v karte the.

Ishqi- Agar sab thik hi tha toh siyappa kaise shuru hua?

Savitri- Lekin pata nahi kaise mere husband ko sharab ki lat lag gayi. Unki company jo itni acchi chal rahi thi, acchanak losses start ho gayi. Nashe mai dhudh rehte rehte unke kaam se man uth gaya tha. Bare dewar ne v MBA karnka faisla liya aur apne family k saath do saal k liye Mumbai shift ho gaye the. Toh maine apni pati k madad krne k liye phir se usi company mai job join kar liya jaha shaadi se pehle ki thi. Wo company mere husband k dost ka tha. Shuru shuru mai usne hi mere pati ko projects de kar start up k progress mai madad krte the.

Ishqi- Aap shaadi se pehle job karte the toh phir kyun chori?

Savitri- Chorna para. Roj Roj saas k taane sun sun k thak gayi thi. Ghar k kaamon k saath kaam balance karna, har choti moti chizon mai Mummyji ka mere gaaltiyaan nikalne k bahane dhundna, mujhe asanskari keh k kosna. Thak kar chor d maine.Lekin isbar zaroorat thi isliye join kiya tha.

Maasi-Aapke phir job karne se v thik nahi hua?

Savitri- Nahi, tabhi toh asli bura waqt shuru hua. Ghar aur job dono sambhalne mai bohot difficult ho gaye the, isliye unke dost ne ghar lautte waqt mujhe roz drop krne laga taaki meri madad ho jaye. Toh Mummyji ne mere unko mere khilaf kaan bharna shuru kar diye. Dhire dhire unko v shak hone laga aur sharaab k nashe mai mujhe maar-pit v karna shuru kar diya. Company v dubne lagi. Mummyji ko sab pata tha phir v mera saath nahi dia usne, ulta jyada bharkate the unko taaki phirse mai job chor du. Meri saas ka manna tha ki aurotein job nahi kartein, sirf ghar chalatein. Aur to aur mard ko haq hai apni patni par haath uthana.

Ishqi- Kesi ghatiya soch hai unki. Kuch log maante hai ki mard chahe jo marji kar sakte hai aur hum auroton ka farz hai jhelna. Kyun? Unko pata hona chahiye ki wo galat hai. Hum jaise koi insaan nahi motor cycle ka shock absorber hai ki sab sehte rahe? Wese wo uncle ne aapki itni madad kyun ki?

Savitri- Wo tumhari tarah ek accha insaan tha aur ek guilt v the unke man mai. Reason phir kabhi bataungi. Tab v unhone meri madad ki toh shak aur barh gaya, aur saath hi attyachar barhte gaye. Jab mujhe aur saha nahi gaya , toh maine ek din mere bacchon ko lekar bhaag jaane ki koshish ki. Tabhi mere husband ko pata chal gaya tha aur gaari leke mere pichhe aane laga. Wo nashe mai tha toh unka accident ho gaya aur wo nahi bache. Mummyji ne maut ka zimma mere sar daal d.

Ishqi-Lekin isme aapki kya galti thi? Koi tuunn ho kar gaari chalayega toh accident toh hona hi tha.

Savitri- Haan, lekin wo baat Mummyji ko kaun samjhaye? Unko lagta hai ki unke bete ko maine unse chinliya. Isliye mai toh tab vaag nahi payi , phir Mummyji ne kidnap karke mujhe asylum mai daal d. Wah har roj mere khaane mai drugs milaya gaya tha jiske karan mujhe pagalpan k dohre parne lage. Mujhe pata thi par Bhukh mai khana para wahi khana. Tabse mai wahi band thi, baas lag vag 5-6 din pehle mai vaag gayi.

Ishqi- Kitne saal the aap waha?

Savitri-Mujhe toh waha waqt ka andaja v nahi tha, phir bahar aakar pata chala ki 20 saal bit gaye.

Ishqi- Haye Rabba! 20 saal? Kese patthar dil saas hai. Ekdam TV serial waali villain jesi. Ekbaar wo mili na, usse mai silbatte mai pis k chutney bana dena hai. This Ishqi is very very risky.

Next part- Suraj's entry

Ishqaan chotu meet.

I wanted to give equal time to Ahaan and Ishqi but this part of the story was such that it was not possible. Aur thora messy v , bohot saare pieces ko aapni jagah mai jo bithana tha. 😊

Did you enjoy it?

Ishqaan FF-  Sanskari loveWhere stories live. Discover now