7. The Realisation

847 82 8
                                    

(Writer's note - Do tell me after finishing this part whether or not you liked the way I made Anubhav realise, cause I am in a hurry to complete this part and bored too otherwise I'd have written much better)

KS - Lalla, aap yahan?

L - Haan, lekin aap bhi yahan?

KS - Haan toh yeh mere bhai ka ghar hai.

L - Toh? Yeh mere saale ka ghar hai!

KS - Ex-Saala

L - Matlab?

KS - Matlab, yeh tumhare saale the, ab nahi hai.

L (laughs) - Kyun? Aap humein divorce de rahi hai? (Grinning)

KS - Haan! Sahi pakde. Yeh lo hum legal papers bhi laaye hai, dekhiye..

L - Kya mazaak hai Karishma (still laughing)

KS - Hum mazaak nahi kar rahe hai Lalla, hum saath mein nahi reh sakte abhi..

L - Hogaya? Chalo ab mai chalta hoon, office mein bht kaam hai, Anubhav ji aap amma ka khayal rakhna apni

AS - Arey, abhi abhi toh aaye hai aap, maa abhi uthti ho hongi, baat karke jaana

KS (raging) - AMMA YEH KYA HAI, KOI HUMARA VISHWAAS HI NAHI KARTA. PEHLE ANU BHAIYA AUR ABHI AAP, HUM KEH RAHE HAI NA HUMEIN DIVORCE CHAHIYE

AS - Behna,

KS - Kya behna haan? Aapne Maddam sir ko jab dhoka diya tha tab humne aap se kuch kaha? Humein bhi vishwaas nahi ho raha tha ki aap aisa kar sakte hai, AAP! Phir bhi humne maan liya ki duty aur pyaar saath mein ho hi nahi sakta. Isliye humein humari duty pyaari hai aur isliye humein divorce chahiye aur ab aap isae mazaak keh rahe hai!

AS - Behna humari baat alag thi aur aapki alag hai

KS - Kuch alag nahi hai Anu bhaiya, aap Maddam sir se alag huye duty ki wajah se waise hi hum bhi Lalla ko divorce de rahe hai, ismein alag kya baat hai?

Lalla - Suno Karishma, hum bht acche se jaante hai ki aapko, aap duty aur pyaar ko accha balance karleti ho.

KS - Lekin ab nahi ho sakta, Anu bhaiyya ne humein sikha diya hai ki kya sahi aur kya galat hai

L - Aapke kehne ka matlab hai ki aise shiddat se police ki duty karne walon ko puri zindagi kuwara rehna chahiye.

KS - Haan, humein Anu bhaiyya ne toh aisa hi sikhaya hai...

AS - Hum ek agent hai

KS - Aapke agent friends saare kuwaare hai?

AS - Behna aap yeh kaunsi baat kahan le jaa rahi hai!

KS ( to Lalla) - Aap iss papers pae sign kardo please.

L - Aap mazaak..

KS - HUM NAHI KAR RAHE MAZAAK, AUR HUMSE YEH HOTA BHI NAHI HAI, Jazbaat toh hum mein hai hi nahi, aur abhi Anu bhaiya ne humein ek aur cheez sikha di.

L - Toh aap humein sacch mein divorce dena chahti ho?

KS - Haan!

She handed him the divorce papers and pen.

KS - Sign kariye.

Lalla - Yeh kya mazaak laga rakha hai Karishma?

KS - Lalla ek aur baar aapne mazaak bola na toh hum

Lalla - Aap kya? Divorce toh de rahi hoon ab katal bhi kardo humara!
Aap humse pyaar nahi karte?

KS - Karte the, lekin ab humein pata chala ki woh pyaar nahi tha, humara pyaar toh humari duty hai, hum ek officer hoke aapse shaadi kaise karliye, itni badi zimmedari humne kaise utha li, hum..

AnuSeena - broken yet togetherWhere stories live. Discover now