mission impossible chapter 6

352 32 1
                                    

THE NEXT MORNING HM IS READY FOR THE MISSION AS COMES UP TO HER AND
As- jai hind haseena ji
Hm- jai hind sir
Saari taiyari ho gayi
As- ji car weapons chip sab ready hai ab bass aapko....aap pakka yeh karna chahti hai na
Hm- ji sir yeh humara mission hai aur agar jaan jayegi toh bhi humari jayegi
As- aisi baatein kyun kar rahi hai aapko kuch nahi hoga
Hm- mission ki sachai jante hai phir bhi apne aap ko jhoota dilasa kyun de rahe hain
As- toh mat jaiye na
Hm- agar nahi jayenge toh desh ko kaun bachyega
As- humme karne dijiye yeh mission
Hm- nahi!! Humne kaha na yeh humara mission hai aayi baat samajh mein aur vaise hum apko kuch nahi hone de sakte
As- par kyu??
Hm- kyunki hum aapse.....
As- aap humse kya
Hm- humara matlab hai ki hum apni team ki jaan khatre mein nahi daal sakte
As- ohhh..... haseena ji
AS HELD HM HAND TIGHTLY HM FELT A STRONG RUSH OF BLOOD FLOWING THROUGH HER BODY SHE WAS NOT ABLE TO TAKE HER EYES OF HIM FEARING THIS WAS THE LAST TIME SHE WAS SEEING HIM
As- haseena ji agar yahi hona hai toh aapka sach janna zaroori hai
Hm- kaisa sach ??
As- I love you hum aapse bohot pyar karte hain humari jaan se bhi zyada
Hm- toh humme chod ke kyun gaye
HER EYES FILL UP WITH TEARS
As- hum toh chahte the ki apni poori zindagi aapke saath bitaye par
Hm- par??
As- par humme iss mission ke liye bula liya gaya aur kaha gaya ki national security ke liye desh ki seva karne ke dauran hum kamzor na pade issley humme kissi bhi rishte mein bandhna allowed nahi hai
Hm- allowed nahi hai matlab yeh toh humara mission hai hum toh ehle se iss mission ka hissa the toh aapko kyun.....matlab hum sajh nahi pa rahe.....aap...aapne humme dhoka nahi diya??
As- nahi haseena ji hum aapko kabhi chot pahoocayenge yeh aapne soch bhi kaise liya humme dar tha ki agar un logo ne aapko mohra banaya aapko nuksaan pahoochane ki koshish ki toh hum dar gaye the hum aapki jaan khatre mein nahi daal sakte the
HM- toh idiot yeh humme aapke keh dete aisa jhoot kyun kaha...aur ek second karishma singh ne bhi toh
As- hum hi ne kaha tha behna se ki aapke man mein humare liye nafrat bharne ko
Hm- par kyun
As- kyunki iss mission pe humari jaan ja sakti thi aur hum nahi chahte the ki aap humare intizaar mein jeena chod dein
Hm- oh my god....I don't believe you anubhav singh aap.....hum pyar karte hain aapse ok!! Koi kuch bhi kahe humare man mein kabhi aapke liye pyar ke alawa aur kuch nahi hoga samajh mein aaya aapko.... you're unbelievable....I hate you
As- sach mein😏
Hm- nahi.....par hum aapse naraz hain
As- I am sorry please maaf kar dijiye
Hm- achha thik hai par vada kariye aaj ke baad aisa kabhi nahi karenge
As- vada karte hain
Hm- thik hai abhi humme Jane dijiye mission ke liye late ho raha hai
HM WAS ABOUT TO LEAVE WHEN HM HELD HET HAND
As- rukiye
Hm- ab kya hua ??
As- dekhiye hoga yah mission impossible par hum bhi na anubhav singh hain aur vada karte hain aapse ki aapko kuch nahi hoga impossible lo I am possible mein badalna bohot ache se aata hai humme
Hm- toh phir humme darne ki zaroorat kyun hai abb chale
As- haan chaliye
THE SCENE CHANGES
IN MPT KS IS THINKING ABOUT WHAT HAPPENED YESTERDAY
SHE HAD A SLIGHT SMILE ON HER FACE UNAWARE OF WHAT WAS GOING TO HAPPEN PS NOTICE THIS
Ps- kya hua bada muskura rahi hai
Madam sir ki chinta hai ya nahi aapko voh gayab hain aur aap baithi baithi muskura rahi hai
Ks- patta nahi kyun pushpa ji par lag raha hai aaj madam mill jayengi
Ps- aapke mooh mein ghee shakar
Achha abhi chaliye aaj parliament House mein duty hai na
Ks- kyaa
Ps- haan kyu
Ks- nahi kuch nahi
Ks- in her mind- sabke samne madam sir ka diya hua kaam kaise poora karenge madam sir me humpar bharosa kiya hai hum unhe niraash nahi kar sakte kya kare??
Ps- chaliye kya soch rahi hai
Ks- nahi kuch nahi
THEY LEAVE
THE SCENE CHANGES
HM IS ON THE ROOF OF THE PARLIAMENT HOUSE
HM FLASHBACK BEGIN
Ab- toh sun plan yeh hai ki iss chip mein ek virus hai voh sarre destructors ek doosre se connected hai toh agar yeh chip tum unmein se ek destructors mein bhi laga diya na toh sarre destructors destroy ho jaayenge par
As- par kya
Ab- par ek blast hoga chota sa hoga par usse tumpar tumhari body par gehra asar pad sakta
Hm- kaisa asar
Ab- yeh ek strong magnetic energy chodegi jisse tumhari.... tumhari jaan chali jayegi
All- kya!!!
Hm- thik hai kab aur kaise execute karna hai yeh mission
As- aap yeh mission nahi karengi
Hm- aap hote kaun hai humme kuch bhi kehne vale
As-......
Hm- chup kyun hai yeh sab aapki tab yaad nahi tab aapko humari jaan ki parvah nahi hui jab humme chod ke chale gaye humme jeete ji maar dala tab nahi dikha humara dard
Ek baat aap sab kaan khol ke sun lijiye hum yeh mision karenge aur yeh toh aap sab bohot achhe se jante ki humne agar ek cheez than li toh swam mahakaal bhi humare raaste mein nahi aate aur aap mr anubhav singh humme apni desh ki sewa karne ke liye aapki permission ki zaroorat nahi hai
HM LEAVES
HM FLASHBACK ENDS
SHE ENTERS THOROUGH A SIR WENT AND THEN SUDDENLY...

mission impossible जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें